Thursday, 23 February 2012

TALEEMI NIZAM MAIN FARQ KYUN????

Jahan hamare mulk main tabqati farq hai wahin uss k sath sath aik or farq hai hamare taleemi nizam  main "URDU MEDIUM" aur "ENGLISH MEDIUM" ka farq jo k iss tarha lagta hai jese k din aur raat ka farq..Jo sahuliyat hamare English medium schools k bachon ko faraham ki jati hain aur jis tarha unko mu terha kar kar k ENGLISH bolna sikhaya jata hai badqismati se hamare gahreeb or Urdu medium schoolon main parhne wale bachon ko iss se mehroom rakha jata hai.... Taleemi nizam main itna numaiyan farq aakhir kyun??????Aik taraf to hum parhe likhy aur Taraqi yaafta Pakistan ki baat karty hain aur dosri taraf humne taleemi nizam main ye farq bhi rakha hua hai....Mustaqbil k mehmaron k sath ye khuli na insafi hai kyun k iski wajah se wo ehsaas-e-kamtri ka shikar ho jaty hain aur kabhi bhi un main utna ehtimaad nahi aa paata jitna hamare naam nihad English medium schoolon k bachon main hota hai!

Zruri nahin k jo ziada feeses dain un hi  ko English sikhai jaye.. Agar hamare taleemi nizam se ye farq khatam kar diya jaye to shayad kisi ghareeb ka TAAT k school main parhny wala bacha bhi taraqi kar sake aur kaar aamad fard ban saky laikin afsos k sath kehna par raha hai k humare hukmaran media per aa kar baaten to bohat karty hain magar amli tor per aaj tak iss silsily main koi iqdaamat nhi kiye gaye na hi iss farq ko khatam karne ki koshish ki gayi hai..Kitny hi bachy aise hain jin ko main zaati tor py janti hoon wo issi farq ki wajah se salahiyaten hone k bawajood aaj taleemi nizam main pichy reh gaye hain kyun k un main utna ehtimaad nahi hai jitna English medium School k bachy maiin hota hai unka kehna yehi hota hai k university level per teachers ziada tar English main hi her kaam maangty hain aur hum usko nahi kar paty ya dosre bachon ki tarha ehtimaad se nahi kar paaty.. Aur unki ye baat theek hai kyun k school kisi bhi bachy ki pehli dars gaah hota hai jahan se wo likhna parhna bolna sab seekhta hai aur us level py jo bhi bataya ya sikhaya jata hai wo bachy k zehan pr naqsh ho kar reh jata hai kyun k uss waqt us ka zehan aik SALAIT ki tarha hota hai.

Lihaza hamare hukmarano ko chahiye k wo apny naam nihad masa'lon aur ghair mulki Doron se fursat nikal kar apny mulk k iss eham tareen masleh ki taraf bhi tawajah dyn ta k mulk main taleem ka mayaar sab k liye yaksaan ban saky....

3 comments:

  1. Topic acha hay Farhana.. magar Blog nahi..Essay ka look de raha hay. Doosray blogs bhi parho taa k ap ko idea ho jaye k kis tarah Halkay Phulkay andaaz mein Apni feelings ko ya apni baat ko express kia ja sakay. Itney mushkil alfaz ki zaroorat nhi thi.

    ReplyDelete
  2. ok mam next time INSHA ALLAH main khayal rakhun gi iss bat ka

    ReplyDelete