Wednesday, 29 February 2012


UNIVERSITIES YA FASHION SHOW???



Aam tor per khayal kia jata ha kay jab bhi kisi naye fashion ka aghaz hota ha to sabse pehle isy universities mai welcome kha jata ha…jiski waja wahan nojwan nasal ka mojood hona ha. Jo munfarid or anokhey nazar aney kay liey kisi bhi fashion ko apnany sey guraiz nahi karti.
Agar ham apni bat karain to maloom hoga kay hamarey nojawan bhi fashion apnanay mai kisi se kam nahi. Hamari universities mai qadam rakhty hi aisa maloom hota ha kay kisi fashion show mai agay hon. Jahan har student ne tawajah hasil karne kay liey kisi na kisi ajeeb o ghreeb cheez ka sahara liya hua wa hota ha.
Magar hamara masala yeh hai kay nojawan naye fashion ko galey lagana apna farz samjhty han chahy us ke halat jo bhi hn wo khud ko fashionable or modern khelwaney kay lie har jaiz or najaiz zarai sey har nai cheez ko khareed kar apni shan o shokat main izafa karna chahty han.
Jab bhi koi nai cheez market mai ati ha to ise khareedny ki taqat sirf ameeron kay bachay hi rakhty hain. Wo jab ise fashion kay tor pay istemal karty hain to ghareeb or matwasit tabqa sochta ha kay yeh sab inhain neecha dekhane  kay lie kya jaraha ha. Or jab yeh soch inke zeheno pe asar andaz hoti ha to inko sab cheez ulti lagne lagti ha or wo apni tamam tar nakamyon ka zimedar fashionable tabqey ko samjhty han.
Fashion……yehi wo marz ha jiska shikar ho kar nojawan apne asal maqsad yani hasool e taleem say hath kar be rah rawi or burai ki dunya main dhansty jarahy han . khud ko bara or dusron ko neecha dekhaney kay chakar mai apna sab kuch barbad kar detey han. 

7 comments:

  1. nice..hmm right rubu its true yehi ho raha ha aaj kal....

    ReplyDelete
  2. hmmm theek baat h waise aj m b baal khol k aayi thi kahin mujhe b nishana to nahi bnaya? ;)

    ReplyDelete
  3. bht acha topic choice kia hai han fari tmko suna rahe hai daikhlo frnds ko bhe nhe chorti..

    ReplyDelete
  4. farhana ya tmharu lie hai... hahahahaha nice job rubab

    ReplyDelete