Monday, 5 March 2012

BAT BAT PAY QASAM Q???..............


Qasam hoti kia hai??? Qasm say murad sachi gawahi hai Hm main say hr koi janta hai k hamaray mamlat k liay" Allah ki gawahi sy barh kr koi "qasm"nahi or sirf aisi hi qasm ki ijazat islam main di gayi hai-aik hadees hai kALLAh tmhain is bat say rokta hai k tu apnay "BAP" ki qasm khao agr qasm khana zruri ho to tm "ALLAH "ki qasm khao wrna kamoosh raho"-Aaaj hm apny ird gird jahan dakhain log choti choti baton par Qasam khatay nazar aatay hyn.Aaj hamaray mausharay main Qasam khana itna aasan ho gaya hai kay hamara Qasam par say aitabar hi oth gaya hai.bul k Qasam khanay walon ko log aam tor par jhota samajhtay hain.Aaj hum bazaro main daikahtay hain k dokandar mehaiz apnay faiday k liay subha say sham tuk bayshumar Qasamain kha rahay hotay hain jo k hamaray mahoul main pheli hui bohat buri buraye hai.HamarayNabi kareem (S.A.W.W) nay tajieroon say farmaya k"Qasam nahi khaya karo,Qasam khanay say aitbar oth jata h   Jhoti Qasam khanay say sirf waqti faida hasil hota hai jb k ye aik bohat bara gunah hai.Aaj kasrat say har baat pay Qasam khana is tarha aam ho chuka hai k agr ye kaha jaye to galat na hogi k ab Qasam khana hamari aadat hi nahi bul k hamari  fitrat bun chuki hai or meray khyal main sachi baat to ye hai k Qasam khanay ki zarorat osi koparti hai jo janta hai k wo jhoot bol raha hai q k sachi baat to bil aakhir apni sachayee manwa leti hai,jb k jhoti baat Qasam kha kar bhi aitmad nahi paati  Aaj hamaray ird gird bay hisi itni bhar gayi hai k log "Qasam"ko bunyaad bana kar dosroon ka huq maar letay hain or apnay anjam ko bhool jatay hain.Jhoti Qasam kay baray main nabi(S.A.W.W) nay farmay k "Jo Shaks Apni Qasam k zarye kisi  musalman ka huq maray to ALLAH nay is k liay Dozakh ko wajib kar dia or jannat is pr haram krdi,is pr ik shaks nay pocha kay agr wo koi mamoli chez ho to ?Aap (S.A.W.W) nafarmaya han chahay wo peelo k darakht ki aik lakri hi q na ho”hmko in ahdees say qasm khanay ki ahmait ka pta chalt ha k mamoli mamoli bat pr qasm nhi khani chahiye…………

2 comments: