Friday, 30 March 2012

JHOOT SACH SAY BEHTAR HAY...!!!




Agar thori dair farz kar lia jai k jhoot sach say behtar hay to kya humne kabhe yeh nahe socha k aik jhoot ko chupne k liyai kitne jhoot bolne parhtay hain.agr pehli bar sach bol dia jay to aik dafa may jan chot jati hay.kehtai hain jhoot k paon nahe hotai aur sach k hath nahe hotai laikn humarai sach bolne say hum kuch dair k liyai buray to hojatay hain par humara ALLAH khush hojata hai k meray banday ne sach bola.kabhe kabar to waliden apne olad say jhoot bolwa rahay hotay hain jaisay k abu ne kise say baat nahe karne to apne olad ko boltay hain k bol do mai so raha hun aur jagh rahay hotai hain...
Hum apne waliden say jhoot bol k frnds k sath chaplain jatay hain aur sara time yehe dartay hain k koi daikh na lain bal k hum sirf larkiyan he hoti hain bus apna mind fresh karne k liyai frnds k sath bahar jatay hain.agr hum waliden say pouch laitay hain to wo kuch dair k liyai mana kartay hain phr khud he permission dai daitay hain q k wo apne olad ko khush daikhna chahtai hain.unki to har waqt yehe koshsh hoti hai k humari olad khush rahay kabhe ehsas e kumtari ka shikar na ho..
Result ghalat anai par hum apne waliden say baasane jhoot bol laitay hain humain is baat ka khayal nahe hota k hum ne upar ja k bhe jawab daina hai.humaray moashray may har banda jhoot bol raha hai is liyai to din ba din chotay say chota bacha bhe bohat paraishan nazar ata hai aur phr hum yeh boltay hain k ALLAH humari nahe sunta yehe chotay chotay gunah humaray agay aty  hain humain is baat ka andaza nahe horaha..  

5 comments: