Wednesday, 7 March 2012

maa


 
Maa khuda ki taraf sa humara wo qeemti or nayab tuhfa hai jo hu humary wajood mai anay say pehly hi humary lie mojoud hota hai jab hum peeda hoty hai tu wo pehly din sa hi humari deekh bhaal karti hai, humai mushkilat sa larna seekhati hai humai tahafus faraham karti hai humai 9 months apny pait mai rakhti hai apny sa zada apny bachy ka khayal rakhti hai kay kahi uskay bachy ko koi takleef na hu har waqt apny rab sa apny hony waly bachy kay lie duaie mangti hai or akhir kar 9 month bad apni zindagi ko khatray mai dal kar dard kay azaab sa humai es dunya ka hissa banati hai
mai apni ami sa bhut pyar karti par darti ho unsay kay kahe wo mjhy dantain na unhai kuch nhi batati esilie wo samjhti hai kay mai unsay zada pyar nhi karti par mai kia karu mjhy apni feelings express hi nhi karni ati. Har beti apni maa sa bht attach hoti hai kabhi kabhi mai ammi sa buhut larti hu shayad batameezi be karjati hon  wo bhe buhut danti hain lakin jab gussa khatam hojata hai tu phr sa sab thek hojata hai maa aisy cheez hai, jo apni ulad ke saray raz apnay seenay main chupa laiti hai.maa ik danak hai, jis main her ik rang numaya hotha hai. Maa wo hasti hai, jis k qadamon talay janat hai .KHUDA ne kaha maa mairy taraf se, qeemti aur nayab tuhfa hai

Jab kabhi koi bhe bacha bemaar hota hai tu wo maa hi hoti
hai jo rat rat bhar jag kar uski deekh bhaal karti hai jab last year ammi ummrah k lie gai  tu  mujhy ammi bhut yad ai mai bhut disturb hogai thi chup chup kar rooti thi ghar akar sab kam karna itni zimadari jiska andaza nhi tha maa ka saya humaray lie thandi chaho ki tarhan hoti hai har mazhab mai maa ko azeem o mukadas karar dia gaya hai is dunia main agar koi sacha aur  acha rishta hai to wo  maa aur bache ka hai kyun ke ek maa apne bache ke liye kuch bhi kar sakti hai khud pe wo har bat bardasht kare gi par us ki khuwhish hoti hai kay us kay bacha khush rahe ek maa ka jo pyar huta hai  wo na tu dekhawa hota hai na he koi  lalach is tarah jab hum bary ho jain to hamara bi farz banta hai ke hum apni maa ka khayal rakahi  kune kay wo dunya ka ALLAH ki taraf sa buhut khubsurat tuhfa hai maa ka haq kanhi ada nhi kia jasakta maa ko khush rakho uski azmat ko janu mAA hai tu sab hai  maa ki dua ap ki dunya  O akhirat  Sawar sakti hai ALLAH  hum sab ke walden ko zindgi de  AMEEN SUM AMEEN and ammi I LOVE YOU SOOO MUCH….!!!!!!

2 comments: