Thursday, 1 March 2012

MAAL-E-MUFT DIL-E-BEY REHAM








Aap ne shadion aur aksar taqribaat main khana khulty hi logon ko dewaana waar khany per toot’ta to zrur daikha hoga.Youn lagta hai jaise tamam log 15,20 din k faaqy k baad aaye hon wohi khwateen aur larkian  jo kuch dair pehle bohat muhazab ban kar aur ithla ithla kar baaten kar rahi hoti hain khana khulty hi wo tehzeeb gadhey k sir per se seeng ki tarha ghaib ho jati hai aur chamchey aur platen cheen’ney se bhi log nahi sharmaty.Aik jang ka sa samman hota hai aur jab khana lainy main kaamyaab ho jaty hain to un ki platon main khany k pahaar khary nazar aaty hain,Jo k sirf aur sirf apni harees fitrat ko taskeen pohunchane k liye hoty hain warna itna khana wo kha nahi sakty.To yeh sirf aur sirf khany ka ziyaan hua aur baaz oqaat aisa karne ki wajha se khana kam bhi par jata hai jo mezbaan k liye pareshani aur sharmindagi ka baais banta hai.

Sunnat-E-Nabwi(S.A.W.W) k mutabiq bhi khana bhook rakh kar khana chahye aur agar hum ye baat yaad rakhain to shayad bohat se nuqsanaat se bach saken kyun k bey hangam tariqy se khany se aik taraf to sehat ka nuqsan hota hai aur dosri taraf rizq ka ziyaan hota hai.Waise bhi hamen yeh baat yaad rakhni chahye k “maal beshak muft ka hai magar pait to hamara apna hai”….

5 comments:

  1. sahi bat ha yr asa hi hota ha... mufta jo milta ha...

    ReplyDelete
  2. gareebu ki bat tu doour ap logo nay dkha hi hoga judges ka lunch recent... yahan ki parhi likhi awam bhe yahe karti hai anyways very unique topic ha GOOD...

    ReplyDelete
  3. rite bilkul thk likh hai...good

    ReplyDelete
  4. aap ki baat say itefaq karta hoon lakin kabhi aap nay socha hay k aisa kyon hota hay yeh sab hirss or lalach ki waja say hay insan k under jo hirss hay woh ussay maal ikatha karnay k liye kisi bhi had say agay lay jati hay wasay aisi shadiyon main is khany ko ham tamam dost shikar kahtay hain k jasay he khanakhulta hay shikar shoroo ho jata hay :)
    izhar niazi

    ReplyDelete