Friday 24 February 2012

co_education

Taleem  insane k lie bohat  zarori  hai  or aj kal jo co_education ka trend chal raha hai is k mutaliq logon k zehno mai bohat uljha paya jata hai .co_education may parhna  koi burin he hai jaisay k log jo batain banatay hain yeh sub kuch ghalathai jis ko parhna ho wo government school may bhe top kar jata hai. Co_education may agr koi larki larkay say baat kar lay to is ko  ache  nazar say nhe daikh jata bal k yeh humara ghalat khayal hai.
Jb hum sath parhtay hain to dosti bhe hojati hai laikn ye dosti sirf parhai ki had tk rakhni chahye aur apne waliden ka ehtimad barkarar rakhna chahye aur jo waliden apne bachaon ko bohat sakhat mahol may rakhtay hain un k bachay hi sub say ziada ghalat raah pai chaltay hain jaisai k spring ko zor se dabane k baab chora jata hai to wo utni hi tezi se uopar uthta hai aur har kaam waliden sai chup kar aur jhoot bol k kartay hain.waliden ko apne bachon k sath bht friendly rehna chahye ta k bachay har baat apne waliden k sath share kar saken aue waliden un ki is mamley mai rehnumai bhi kar.

No comments:

Post a Comment