Sunday, 1 April 2012



 Aaj duniya main “APRIL FOOL DAY” yani logon ko bewaquf banana ka din manaya jata hai aur bad qismatti se hamare mulk main bhi log bohat josh-o-kharosh se ye din manatey hain..Agar iss din ki history daikhi jaye to wo ye hai k.. 1942 main Spain per jab qabza hua to Essayon yani christians ny musalmano se ye waada kar k behri jahaz main sawar karwaya k musalmano ko ba hifazat Africa pohuncha diya jaye ga laikin jab kashti samandar k darmiyan main pohunchi to essayon ny musalmano ko zinda jala diya. Tab se ab takye din Musalmano ko bewaquf banane ki yaadgaar k tor per manaya jata hai aur hum musalman bina iss din ki tareekh jane mehaz andhi taqleed aur tafreeh k liye ye din manatee hain aur iss k liye kisi b had se guzarne se guraiz nahi karty.Kabhi kisi ko kisi k marney ki jhooti ittelah di jati hai to kabhi kisi k accident ki aur phir us ski bey bassi ka lutf uthaya jata hai.Inn ghatiya aur be tukky mazaqon ki wajha se bohat se log sadmey ki wajha se apni qeemti zindagion tak se hath dho baith’ty hain.Hamari aik mami sahiba hain jo her saal 1st April ko iss tarha k mazaq kar k hamari ami ko pareshan kiya karti thin magar khoob daant parne k baad Khuda Khuda kar k ab unhone apni iss aadat ko tark kiya hai.Baaz nojawan to ye bhi sochty hain k agar kisi ko purpose karna hai to 14th February k bajaye 1st April ko karen agar maan gayi to “COOL” na maani to “APRIL FOOL”..

Pichly saal ki hi baat hai k meri chachion ny mere dada ko meri ami ki tang tootne ka kaha wo bichary sakht garmi main tension k mare paidal chalty huwe hamare ghar taka aye aur unki tabiyat bhi tension ki wajha se kafi kharab ho gayi jab k aagy meri ami sahi salamat bethi thn.. Issi tarha hamari aik jan’ne wali khatoon ko aik martaba kisi ny call kar k kaha k aap ka Inaam nikla hai Alla din park main aaj issi silsily main function hai aap aa jaye ga kahir wo bichari inaam k chakkar main wahan pohunch gain aur jab wahan ja k maloom kiya to aisa kuch bhi nahi tha sauchiye un bichari ko kis qadar sharmindagi aur koft ka samna karna para hoga.. apko parhny main to shayad ye baat buhat dil chasp lag rahi hogi magar jin k sath ye waqiya hua unko kitni pareshani hui hogi.. Wese aapas ki baat hai kal Desil aur Petrol ki qeemten barha k hamari hakumat ny bhi awam ko kahin April fool to nahi banaya???? ;-)

Jahan hamara mulk itny buhrano ka shikaar wahan hum iss tarha k fuzool aur bhondey mazak kar k sasti tafreeh dhoondne ki koshishon main masroof hain. Agar hum apni yehi salahyaten kisi achey kaam ko karne main laga dain to shayad hamara mulk bhi taraki ki raahon per gaamzan ho sake… Meri aap tamam logon se request hai k Khudara! Iss din ka boycott kar k aur jhoot bol kar dosron ko pareshan na karne ka ehad kar k parha likha aur muhazab shehri honey ka saboot dain.

Dusron ko hasaney ki khatir jo log jhoot bolty han inke mutaliq hadees shreef mai aata hai k...

“Tabahi ha aise shaks k lie jo dusron ko hansaney k lie jhoot boley (ABU DAUD)”

11 comments:

  1. hamain waqai is din ka boycott karna chahye

    ReplyDelete
  2. Humari Hukumat Kabhi joke nahi kerti!! :/
    q k woh khud he boht bara joke hain :D

    ReplyDelete
  3. wse to aj kal jhot bolne k bagyr guzara he nhe hota lakin aisa b jhot nhe bolna chahye jis sy dusre ksi insan ko dukh ya taqlef pohnche

    ReplyDelete
  4. jhot bolny se humare mzhab m b bht sakhti se mna kiya gya h or mzak m jhot bolny ki b mumaneyat h pta nhi q hum kofaar ki andhi tqleed krty hain kbhi April fool mnaya ja rha h to kbhi Velentinez day najany hmari nadaan qoum kb hosh k nakhun legi.Fari ap ne bht hasas mozo ki traf tawaja delai h or bht acha likha h keep it up:)

    ReplyDelete
  5. wow .. really very thought provoken blog i must say . Excellent effort by farhana K. Niazi.

    ReplyDelete