Aaj hamaray
mulk man jahan b daykho har koie mehangai ka rona rota nazar aata hay.aaj
mehangai nay syb ke kamar toe k rakh de hay.munafa kamanay ked or nay isthesaal
our loot maar ka jo bazaar garam kar rakha hay is nay gurbat o
eflaas,bayrozgari,k saath saath samaji abtari man izafay say pory samaj ko
pasteyon man dhakeel dia hay.mehangai itni bhar gai hay k aaj logon ka guzara
karna bohat mushkil hota jar aha hay.bunyadi zarorat kr chezayn maslan khanay penay
ka saman or rooz marrah k istemal ke ashya ke qematon man bhe be bunyad izafa
hota jar aha hay.aaj hamaray hukmraan bina sochay samjhy baghair k akhir kis
tarha aik garib shaks apna payt bharay ga,kis tarha apnay bachoon ko paaly
ga,mehangai man izafa kartay chalay ja rahay hayn.aaj Karachi sameet Pakistan bhar
man aam mazdoor or mulazmat pasha khawateen ke zindagi mehangai k bais har
guzartayk saath mushkil say mushkil tar hoti ja rahi hay.aaj mehangai nay
ourtoon ko gharoon say nikal kar kaam karny par majboor kar dia hay kun k sirf
mard ke kamai say guzara karna mushkil ho gaya hay.mehangai itni hay k zaroratayn
he pori nahi ho pa pati majboran ourat ko apnay bachoon ke zaroraton ko pora
karnay k lay nokri karna parti hay or hamaray muashray man ourat jb bahir ke
zimaydari anjaam dati hay to usay khandani zimaydareyn kea dam adaige ke sorat
man kai masail ka samna karna parta hay.ourat ko tarha tarha say tang kya jata
hay.aik privat survey k mutabik govt hospitals ke narsoon say ley gay interviue
man 58 fe sad narsoon nay kaha k sath kaam karny walay mulazmeen tang kartay
hay ey khawateen ba izzat tor par mulazmiat karna chahti hayn.magar afsos
inhaynbohat se mushkilaat ka samna karna parta hay.survey k mutabik mukhtalif
jaghoon par nokreyan karnay wali
taqreebn 93percent hawateen nay bataya k un k sath kam karnay walay mard
hazrat ya un k boss in ko parayshan kartay hayn or in ke dimand pori karnay par
nokri khatam kar datay hayn.mulazmit pasha khawateen ka sub say bara masla
safar ke saholat ka fuqdaan hay.khawateen ko mulazmit k hawalay say dar pash
masail ka fori hal hona bohat zarori hay ta k wo apni zimaydareyn ko achay
taraqay say pra kar sakayn.khawateen k masail ko hukumat ke iskemoon or polices
k zaray hal hona chahy.khawateen ke taraqi k lay jo hukumti satha par iqdamat keay
jatay hay un ko sahi manoo man roshan khyali par mabni hona chahy ta k
khawateen bhe bhtar tareeqy say apni zimaydari adaa kar k bharti hoie mehangai
ka muqabla kam az kam is had tak kar sakay k in ke zarortayn pori ho
jayn.guzishta aik do rooz say petrol ke qaimat man bohat ziada izafa kar dia
gata hay jis ke wajha say har shaks parayshan hay kin k petrol ke qaimat
bharnay ke wajha say har cheaz ke qaimat bhar rahi hay
sabzi,phall,kapra,masalay gazr zarorat ke har cheaz par qaimat bhar chuki hay
or awaam parayshan haal hay samajh nahi ata k kis say shikayat karayn kis say
insaaf mangayn or hamari hukumat aankhayn bund kar k sirf apni jaib bharti
chali jaa rahi hay or garib awaam ko loot kar khaa rahi hay bajay is k awaam ka
kuch khayal karay sirf apna faida hasil karnay ke dhun man magan hai…………..
Yes madiha u r rite har banda he ro raha hai laikn humari government koi sath nhe dai rahe..
ReplyDeleteMy name is minahal iqra kia tum Karachi wali meri best friend ho keun kai us ka name bhi iqra altar hai plz btao I miss her so much
Deletewaqai yar najane kb yeh azab awam k uper se kam hoga =(
ReplyDeletejb hukumat bdley gi
Deleteomg it was too helpful for me thanks thanks thanks
ReplyDeleteBahot accha mazmoon likha gaya hai.
ReplyDeleteThank for this mazmoon(essy) my work is done you are great
ReplyDeleteI like.
ReplyDeleteThank u so much now i can complete my urdu assingment 🙃
ReplyDeleteThank u so much now i can complete my urdu assingment
ReplyDelete