Friday 2 March 2012

HEY RAY MOTAPA

Har larki ki khuwaish hai k wo sub may ache ,piyari aur smart nazar ai.aj k dur may dieting,jym,weight  lose karne ki medicine,powder bht common hogay hainside effects pata honai k bawajod larkiyan yeh sub cheezen use kar rahe hoti hain aur jab yeh cheezen chorti hain to weight pehlay say bhe ziada barh jata hai.
Ghr k kaamo say bhagti hain ghr k kaam k liyai masi lagai hoti hai jab k khud mazay say baith k khati aur soti rehti hain.raat jaghti hain aur din soti hain phr jab weight increase hojai to roti hain k moti hogai moti hogai.pehlay zamanai may bohat kum larkiyan moti nazar ati the q k wo apne ghr k kaam khud bohat shok say karti the.
Aj kal fast food ka istamal ziada hogaya hai ghr pai khana bana kum aur bahar say home delivery karane ka trend chal gaya hai.jis ki waja say larkiyan din ba din arampasand hoti jarahe hain.hum apne university mayhe daikh lain larkiyan b.s aur masters karne k sath sath motapa bhe hasil karti hain.motapay ki waja say larkiyon k rishtay bhe nahe hotay .jis ki waja say humaray waliden ko paraishani ka samana karna parhta hai.

.

4 comments: