WOMEN'S DAY
Aaj khawateen ka aalmi din yani 8 March hai to maine socha kyun na apna aaj ka blog issi hawaly se likhun.Aurat maa hai , beti hai , bevi hai , behan hai gharz her roop main hi wo bohat qabil-e-ehtiram hai... Maa k roop main ho to apney bachon k liye thandi chaon, beti ho or behan ho to ghar ki ezzat or baap bhaion k shimly ki shaan aur bivi ho to rooh ka sukoon hai... Ye aurat hi hoti hai jis ki gaud main her qaum k mustaqbil parwaan charhta hai shayad isi liye kaha jata hai k..
Aaj poori duniya main khawateen ka aalmi dinmanaya gaya aur hamare mulk main bhi. Lakin sawal ye paida hota hai k aik din mana lyny se hamare faraiz poorey ho jaty hain ya khawateen ko un k haqooq mil jayengy???Aakhir kab tak aurat KAARI,WANNI aur WATTA SATTA k naam per qurban ki jati rahe gi????Aurat insan hai koi bhair bakri nahi k apney mafaad k liye un ko bina un ki marzi maloom kiye qurban kar diya jaye..Iss k ilawa aurat ko hamare muahrey main qadam qadam py hirassan karne ki koshish ki jati hai chahy wo public transport ho ya office ho.Pakistan main sabse ziada khawateen ko tashadud ka nishana banaya jata hai.. Iss k ilawa ujrat py kaam karne wali khawateen ko ujrat bhi sabse kam di jati hai usko dosre darjey ka shehri samjha jata hai.. Uss waqt hamari naam nihad NGOS kahan hoti hain??Kyun wo khawateen k haq k liye awaz nahi uthatin?Kisi majboori k tehat bhi rozgaar k silsily main ghar se nikalny wali aurat ko acha nahi samjha jata aur tarha tarha k comments pass kiye jaty hain..Aakhir hamare muashry ki aurat kab khudmukhtar hogi??Aakhir kab usko uska asal maqam mily ga??Sirf bill pass kar dyne se aur dosron ki taqleed main WOMEN'S DAY mana lyna hi kafi nahi..
Yahan main aik baat aur bhi kehna chahti hoon k aurat hi hai jis ki gaud main naslen parwaan chahrti hain aur wohi aany wali naslon k zehan main ye baat daal sakti hai k aurat her roop main muhtaram hai aur uski izzat karni chahye na sirf apne ghar ki aurton ki bal k her aurat ki kyun k mard jo aurat k haqooq ka estehsaal karta hai wo bhi aik aurat ki hi gaud main parwaan charhta hai..
"ALLAH TAALA NY AURAT KO MARD KI PESHANI SE NAHI BANAYA K WO MARD PE HAKUMAT KARE.. NA US K PAON SE PAIDA KIYA K WO USS KI GHULAMI KARE.. BAL K, USS KI PASLIYON SE PAIDA KIYA K WO USS K DIL K QARIB HO"
Aurat k baghair muashra na mukamal aur bey ronaq hai kyun aurat na ho to shayad muashra taraqi bhi na kar sake aur duniya main koi rang hi na ho kyun k...
"WAJOOD-E-ZAN SE HAI TASWEER-E-KAINAT MAIN RANG.....!
THEEK KAHA !! bill naafiz ker dyna he kaafi nhi hy bulkay qanoon ka mukamal nifaaz amal myn laya jana chahiye taakay ager koi aurat qanoon k derwaza khatkhatae to usko ye kh kr k "gher ka maamlahy" samjhota krlo, ya gher se bahar ksi maslay ka samna hy to b usko mukammal tahaffuz farahum kia jana chiye na kay mard ko takatver jaan ker aurat ko hi sare tasleem khum kernay ko kaha jae.
ReplyDeletewell written fari =)
ReplyDelete