Saturday 21 April 2012

AY PUTAR HATTAN TY NAE WIKDEY…


 

Mera bachpan se aik khuwab tha k main Pakistan Army main doctor ban kar jaon.jon jon bari hoti gayi mera ye khuwab junoon ki hasiyat ikhtiyar krta chala gya or mere ghar walon ki b yehi khuwaish thi.Magar badqismati se mera ye khuwab poora na kha saka.Army se itni muhabbat ki shayad aik wjha ye bhi hai k mere baba Army officer reh chuky hain or bachpan se hi unse Army k qissey or un k experiences sunti chli aa rahi thi.Mere baba batty hain k jab 1965 ki jang lari jar hi thi to radio pr iss hawaley se both programs nashar kiye jaty thy or log itny muttasir hoty thy or un mai itna josh-o-walwala paida hojata tha k mard to mard khawateen bhi border per khane piney ki ashiya apne foji bhaiyon k liye ly kar pohunch jaty thy.Mere baba or unki umer k bohat se nojawano main bhi radio per jang k hawaley se programs,taqareer or milli naghmey waghera sun kar itna josh-o-kharosh or jazba-e-shahadat paida hua k unhone jang k foran bad 16 saal ki umer main hi Pak Army join karli.

Un ka kehna hai k Army ki zindagi bohat mushkil hoti hai bil khusoos Army ki training jis m subha sawery 5bjy jaga kar doraya jata hai or zara si ghalti pr saza di jati hai jaise DADU CHAAL jis m paon k bal baith kr or kamar pr hath rkh kar mendak ki trha uchal uchal kr muqarar karda maqam tk jana hota hai,is k ilawa SKY JUMP  jis m aik hi jgha pr khary ho kr uchalna parta hai,PUSH UP jis m lait kar hathon k bal zameen pr ooper nichy hona hota hai,Mess pr pabandi,aadhi raat ko jagha dyna thandy pani se nehlana or iss jesi bohat si sazain… Khaney k doran agar platon or chamchon ki halki sib hi awaz aa jaye to iss pr bhi saza di jati hai.
Main aksar baba se poochti hon k wo itni mushkil or rookhi pheeki zindagi main wo log enjoy kaise krty thy to wo boht se dilchasp qissey sunaty hain jaise aadhi raat ko bister pr takiye set kr k chup kr diwaren phalang kr nikal jana or film daikh kr chupky se aa kar sojana.Sab se dilchasp qissa jo wo sunaty hain unka aik junior apne ghar se chutti guzar kr wapas aaya to apne sath Punjab ki aik soghaat PINJORI ly kar aaya jo k Sooji or cheeni ko bhoon kr banai jati hai kher jab aadhi rat hoti or sab sojaty or lights off hojatin to wo andhere main apne attachi case main sir ghussa kr pinjiri khany lagta or CHAPAR CHAPAR ki awazen aatin.Jab awaz ka suraagh lagaya gy ato pata chala k unki naak taly ye sab ho raha hai kher unhone plane bnaya k isko sabaq sikhaya jaye.aik din us k aany se pehly uska attachi case khol kr pinjiri nikal uski jagah Rait bhar kr rakh di gayi or sab apne apne bistro main lait kr uska intizar karne lagy aadhi raat ko usne phr wohi kaam kiya or jese hi pinjiri moun main gayi usne thook di or baba or un k friends ny lights on kar di or phir unse kaan pakarwaye gaye k ainda koi chez aikaily nhi khani..Matlab ye k unki zindagi itni mushkil hoti hai magar wo iss rookhi pheeki zindagi ko bhi apny tariqy se enjoy krty hain Seniors or juniors farigh waqt main mil baith kr musical qisam ka program krty hain or agar bahar kahin hotel waghera main mulaqat hojaye to ye riwayat hai bill seniors ko hi adda krna parta hai.Unko disciplined zindagi guzarne ki itni aadat hojati hai k ghar aa kar bhi ye aadat tabdeel nhi hoti jese k hamare ghar main agar koi glass bhi apni jagah se 1,2 inch door rakha ho to baba ko na jany kaise pata chal jata hai or phir hamari class hoti hai L

In sab baton se hat kar Pak Army duniya ki bahadur tareen afwaaj main se aik hai.Agar jang k dinon ki baat karen to jang k dinon main sabse bara masla fojion ko khane piny ka hota hai qk her jagah pr mess ki sahulat nhi phunchai ja sakti or baaz-o-qaat unko sookhi rotiyan bhi pani main bhiggo kar khani par jatin jab k aksar to sirf pani pr bhi guzara krna parta hai or wo ye sab kis k liye kart hain? Sirf or sirf apni qaum k liye apne gharon se or apny piyaron se door hamari hifazat k liye apni jaanen hatheli pr liye phirty hain.Iski aik misaal haliya afsosnaak waqiya jo k Siachin glaishoir pr paish aaya jis main hamare 135 jawan or officers barf k todey taly dab gaye..Kya kabhi hmne apni fouj ka shukriya adda kiya??Kabhi un k liye youm-e-sog manaya?Nhi!!! qk hum to apny gharon mai mehfooz hain or such ki neend soty hain halan k daikha jaye to baqol shaksy..
Shaheed ki jo maut hai
wo qaum ki hayaat hai…

Kyun k ye foji jawan hi hain jo sarhadon per apni qaum ki hifazat karty hain or hum such chain se apny gharon main soty hain iss trha wo apni janon k nazrane paish kr k hamari zindagion ki hifazat karty hain.Wo to hmari khatir apni janen qurban kar k bhi kabhi humse khiraj nhi maangty or humse sirf or sirf duaein chahty hain..Agar hmari nojawan nasal se poocha jaye k Shah Rukh Khan kaun hai to foran uska bio data bta diya jata hai lakin agar unse poocha jaye k Rashid Minhas kaun thy to aayen baayen shaayen karne lagty hain bajaye in azeem logon ko idealize karne k hamari nojawan nasal cricketors,Gulukaaron or adakaron ko idealize karti hai jab k main samajhti hoon k hamare asli heros to yehi hain agar hum or kuch nhi kar sakty to kam az kam unko appreciate to kar sakty hain.Main Pak Army ko salam paish karti hoon..
PAKISTAN ARMY ZINDABAD!!

6 comments:

  1. bht informatoin hoi hmy ap k blog se Pak Army k bare mai weldone Fari

    ReplyDelete
  2. Good working..bht acha likh hai..

    ReplyDelete
  3. A NICELY WRITTEN N INFORMATIVE ARTICLE.. IT CAPTURED THE ATTENTION THROUGHOUT, WHILE I WAS READING. I SALUTE TO PAK. ARMY THEY ARE DOING ALOT FOR US. THIS BLOG IS AN AWESOME EFFORT BY FARHANA NIAZI. GOOD LUCK FARHANA FOR THE FUTURE ,ALLAH BLESS YOU IN EVERY WAY !!

    ReplyDelete