Thursday, 9 February 2012

Dekhavey ki Duniya



Akhir kab tak hum apni khushiyon or khuwahishiyon per dusron ki khushiyon or khuwashihyon ko tarje den gye… or sochty rehngy ke, asa kia to kya hoga… wesa kia to kya hoga…. Log kya sochen gye… kya kahengye… !!!
Akhir kab tak logon ki parwah krengye hum… hum kab is dogli soch rakhny wali duniya se bahar niklen gye .. jo dusron k lye kuch or apny lye kuch sochti hai

Ye masla ksi ek ya do logon ka nahi balkey hamarey muashrey ke har dusrey shaks k sath ye hi masla hia… apni shuliyat se ziyada dusro ki khushiyon ka kehyal ziyada rehta hai…
Apny ghar ki beti agar doston ke sath raat gye bahar ghomny phirny mai masruf ho to wo thek…. Lekin agar kisi dousry ki ghar ki beti mulazmat k silsiley se bahar jaey or Magrib ke bad ghar lotey to usko awara keh dia jata hai….
Apna beta ghar mai faltu behta hai to thek… or agar kisi dusrey ka beta Doctor, Engineer ke bajaey Officer, Performer ya Artist bana chahey… or baney ki qabiliyat bhe rhkta ho… to usko ya us ke Walden se kaha jata ha k.. “kya fazol ke shouq paal rakhen hen ap ke bety ny”
…(koi unko un ke apny betey k mashagill se bhee agah kr dy)…
Or maa baap bhee is dekhavey ki duniya ki baton mai aa ke apny bachon se kehty nazar aty hen un k betey ko dekho Engineer ban gya ha… un ki beti ko dekho Doctor ban gai ha… ya phir un ka beta C.A ha____ or tm ko kya bana ha writer!! Painter!! Poet!!___
Baat sirf yahan tak hi nhe ha jab Walden apna olad ki traf se akhri farz (“SHADI”) pura kr lagty hen us waqt bhee apni hasiyat se ziyada is duniya ko dekhty hen k kahen koi kami reh gai to ye duniya waly kya kahen gye kya sochen gye…..

Akhir hum kab tak is dekhavey ki duniya ka sochty rahen gye… Khash hum dusron ki khusiyon se ziyada apni khusiyon ko, sahulat ko, pasand or na-pasand ko tarjee den, or in sab se ziyada apni khuahishat ko tarjee den
Or hmari youth ko kbhi bhee kisi complex ka shekar nhe hona chahey khas tor se apna profession choose krty wqat ke hum ny ye kam kia to kya hoga ya wo kam  kia to kya hoga… hamesha apni limits mai reh ke kam kren chahey jo b kren, q k koi b kaam chota ya bara nhe hota.. hum us kaam ko chota ya bara bana dyty hen.

7 comments:

  1. Shadi wala point is too good :)
    tht's the biggest issue now a days

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you....
      "biggest" issue hmmm... tmhary ghr mai bhee ye chal rha ha kya aj kal??? ;P

      Delete
  2. "Zaroorat is amar ki hay".... Change karo is jumlay ko. Mazmoon nahi likh rahi ho beta BLOG Hay.. starting bohut achi li tum ne.. magar akhir mein phir wohi Zaroort is amar ki hay.....

    ReplyDelete
  3. hmmm Duniya dikhaway ki taraf bht mayal h.. kehty hain na YE DOSRON KI HI NAZREN HOTI HAIN JO HAMEN KHUWAR KARWATI HAIN.. qk hum apny liye to kuch nhi karty dosron ko dikhany k liye ziada ehtimam karty hain...

    ReplyDelete
  4. ok Maam'm i'll try my best in future.

    ReplyDelete