Friday, 10 February 2012

HIMMAT KARAY INSAN TO KIA NAHI HO SKTA?


is dunya main koi mushkil aisi nahi jis ka koi hal na ho chahay jtna bhi mushkil waqt ho ins ko himmat sy kam lyna chahiay or ghabranay ki bajaye sabr or himmat say halat ka muqabla krna chahiye-Himmat mushkil say mushkil kam ko asan bna deti hai-himmat khudada namait ha is salahiat say hr insan ko ALLAH nay nawaza hai jisko istimal kr k hm apni shaksiat ko nikhar sktay hain-
Dunya ki tamam tr taraqqi, science kay karnamay or muktalif ijadat ye sub himmat hi kay karishmay hain-himmat  kay bul botay hum gumnami ki tarikiyun say nikal kr shohrat hasil kr saktay hain-baray baray doctor, sciencedan,siyastdan ye sub log himmat mehnat or burdbari say hi kamyab huay-himmat kay agay na samander rukawat bun skta hai or na hi pahar- tareekh aisay karnamo say bhari pari hai iski misal hmaray samnay Tariq bin ziyad ka mashhoor waqia or jang-e-badar main mujahideen ki azmo himmat ka amli saboot hai-hamaray mulk pakistan ka wajood main aana bhi aik  azeem shasks Quiad-e-azam ki himmat or chatan jesay mazboot hoslay ki dalel hai-
Kisi kam ko krnay say phlay 100 bar sochna chahiay kay kia ye kam theak hai?or kia aisa krna chahiay?phir jb hum faisla kr lain k han aisa krna durust hai is main koi buraye nahi to isko paya-e-takmeel tak pohanchanay ka mazboot irada kr lyna chahiaye or is bat say nahi ghabrana chahiye kay rastay main mushkilat or rokawatain ayngi bul k apni manzil ki taraf nigah kr k himmat say aagay barhtay chalay jana chahiaye InshaAllah KAMYABI hamaray qadam choomay gi…………….
Wo kon sa aqida hai jo wa ho nahi skta
Himmat karay insan to kia ho nahi skta

10 comments: