Monday 13 February 2012

Kisaay wakeel karain ,kis say munsafi cha hain???



Aaj hamaray mulk main koi din aisa nahi guzrta k os din hazaroon log apnay qeemti asasoon say mehroom na hotay hoon- Aaj hr taraf dahshat grdi or qatlo garatgri nay hamara sakoon brbad kr dia hai hr waqt hmaray sir pr loot mar ka khoof sawar rhta hai-or hmari police ka to kia hi kehna hai jo k aaj rahber k bajaye rahzun bun chuki hai aaj aksar jaraym main khud police kay ahlkar shamil hotay hain - ye jaraym police ki sirparasti main hi anjam patay hain or koi inko pkrnay wala nahi , iski misal jang news kay mutabiq kuch roz qabl akhtar muhammad road pr saada kaparoon main aik police ahlkar apnay ahlay khana kay sath ja raha tha kay rastay  main gunpoint pr rahzanoou nay motorcycle chean li-farar honay lagay to police ahlkar nay firing kr k aik rahzn ko halak kr dia,jis ki shinakht baad azaan, police ahlkar kay tour pr hui -jub qanoon k rakh walay hi rahzun bun jain to awam ko insaf kon farahm karay ga???
Aaj hamaray mulk main rah chaltay mobile phones, pures or gariyaan chinnaay ki wardatain din ba din barh rhi hain-kawateen akelay gharoon say nikalnay main drti hyn,bomb dhamkoon or street crimes nay logon ko zehni mareez bana dia hai-subha ghar say nikalnay walun ko ye nahi pta hota k wo sham main ghar wapis lotain gay bhi ya nahi- mulk main barhtay huay crimes ki bari waja grbat or bayrozgari hai-crimes controll krnay kay liay hukumat ko  mulk say bayrozgari or mehangayi khatam krnay pr khususi  tawajja dyna chahiaye-aaj hamaray nojawan indian films dekh dekh kr bhi jaraym ki taraf mayl ho rahay hain or nojawan tabqa choti choti wardatoon say barhtay barhtay bari bari wardatoon main mullavis hojatay hai is silsilay main waldain ko bhi chahiye kay wo apnay bachoon ki jayz zaroratain pori krnay kay sath sath un pay kari nigah rakhain  ta kay hamaray mulk main barhtay huay jaraym main kuch kami hosakay-
                                                                        Pathra na jaye zindagi,tahzeeb ro na day
                                                                        itni bhi choot,Aaay khuda insan ko na day 

2 comments:

  1. not only Indian films, All Hollywood, Bollywood and lolly wood movies are also included..

    ReplyDelete