Tuesday, 14 February 2012

SHEESHA YA ZEHER????



nasha khua chars ka ho ya cigratte ka ,naswar ka ho ya sharab,afeem ka ho ya sheeshy ka nasha nasha hota ha. yeh insan ko hr lihaz se nuqsan phnchata ha. ek taraf insani jism ko nidhal karta ha to dusri taraf mashrey main insan ka waqar bhi gira deta ha…magar hukumat ky zimedaran ki la-parwai se bhi nojawan nasal, nasha awar ashiya ky istimal ki adi hoti jarhi ha. Aam tor per logon ka khayal ha ke nashy ki shurwat cigarette sey hoti ha. Aksar dekha gaya ha ky log phle cigarette ko bator. Fashion ke tor peety hain, phr rafta rafta chars, afeem or hiroen jaisi khatarnak nasha awar cheezon ky adi hojaty hain. Magar aj kal Pakistan main ek aur waba,jo taizi se phel rahi ha,ase aam alfaz main sheesha kaha jata ha. Mulk ky beshtar shehron main sheesha centres qaim hain. Barey shehron main to alishan sheesha centre banay gae han jin per awaizan barey barey boards nojawan nasal ko baqaida tabahi ki taraf bulaty han or wahan baqaida
school,colleges or universities k  talba aur talibaat ka jhamkatta laga rehta hai , magar hairat hai mustaqbil k mamar,mustaqbil se be-khabar ,fashion k tor,is nasoor  ka sare aam istimal kar rahe hain aur qanoon nafis karne wale idare khamoshi ki tasveer bane hoe hain. Mera to ye khayal hai , in sheesha centers ko license jari karna Islami Jamhuria Pakistan k sath sarasar naa insaafi aur no jawan nasal k sath bohot bara jurm hai.





6 comments: