Tuesday 7 February 2012

GEEBAT… Ek Bhot Bari Burai…





Hazrat sheikh Saadi apnay walid sahab k hamrah safar ma thay’doranay safar aik rat apnay walid sahab k sath Quran-e-karim ki tilawat krtay rahay Tahajud k waqt aap nay namaz parhi  jub k dosray ahlay qafla sotay rahay. Namaz k bad aap nay apnay walid shahab say kaha k ye log kesay bay khabar so rahay hyn kisi ko itni tofeq nhi hui k oth kr 2/do rakat namaz parh leta-is bat pr un k walid sahab nay kaha beta agar tum bhi soty rhtay to is say behtar tha bajaye is k kay tum logon ki Geebat karo.
Shab-e-bedari kr k Quran-e-karim ki tilawat krna OR Tahjud kay nawafil ada krna yaqeenan bari saada ki bat ha lekin geebat sy mehfoz rhnay kay muqablay main in sy mehromi ko tarjeeh di ja rhi ha jis say andaza lagaya ja skta ha kay geebt krna ktna bara gunah hai-Rasool pak(S.W.W)nay farmaya “Geebat ye hai k apnay bhai ka is tarah tazkira krna jo isko napasand ho” Sahaba nay pocha agr wo bat os shaks ma mojod ho to kia phir bhi? Aap(SW..W)nay frmaya “yehi to Geebt ha, agr  ye bat os main na payi jaye to ye buhtan ho jaye ga”
Aaj agr Muslim Moashray pr nazar dali jaye to bazar, ghar, dafatir koi jaga aisi nhi jahan ye waba aam na ho aisa mehsos hota ha jesay logo k pas is k ilawa koi dosra kam hi nhi, jahan chand log jama huay or is kam ka agaaz hogaya-Aisa bhi nhi hai k log is ki sangini say waqif na houn. taqreeban hr shaks janta ha k ye acha amal nhi hai ha lekin maqamay heart hai k jo log dosron k muqblay main zada fehmo firasat k malik hain wohi is jurm main zada giraftar nazar aatay hyn maslan siyasi rehnuma sirf apnay number barhay ki khatir aisay aisay buhtan tarashtay hain jin ki koi hd nhi-Sahafi apnay mafad ki khatir raiee ko parbat main tabdeel kr detay hain-
Aaj hamara moashrah karb’baychani’intishar’or budamni ka shikar hai jo yaqeenan geebat ka samar hai’q k jahan Geebat aam ho wahan sakoon or kush hali ka tasawur bhi nahi kia ja skta-Geebat dost ko dushman or apno ko ghairon main tabdeel kr deti hai zara si ahtiyat say is marz pr qabu paya ja skta hai-
Lehaza zarorat is amar ki hai kay apni zaban ko qabu main rakha jaye or kisi ka zikr krnay say pehlay is bat pr gour kr liya jaye k kahen hm geeba k murtkib to nahi ho rahay-Agr ahbab main say koi shaks nadanista tour pr is rah pr chalta nazar aye to osay rokna bhi deegr ahbab ki zimadari hai or yaqenan ye baray ajar ka kam hai-Agr hm nay is aadat ko tark krdia to hamara moashrah bht si aafat sy nijat hasil kr lay ga or yahan muhabbat or bhai charay k aisay phool kjilain gay jo mulk ki puri fiza ko muattar kr dain gay… 

2 comments:

  1. Write it as a "Blog Post". Remember, this is your "Virtual Diary". You are NOT writing an Essay now. Keep it light yet thoughtful enough.

    ReplyDelete