Wednesday 8 February 2012

Pakistan ki Tameer -o -Tarqqi or Hamara Nizam-e-taleem



ilm afrad ki zehni salahiyaton ko ojagr krnay  or seeratokirdar ki tameer k liay sub say zada ahmiat rakhta hai kisi quom ki taraqqi or baqa kay liay or iski zehni nashonuma kay liay nayi nasal ki zehni tarbiat ki ashad zarorat hai kisi quom k mustaqbil ka inhisar  iski nayi nasal pr hi hota hai agr nai nasall sahi rastay pr gamzan hogi to wo aik  taraqqiyafta qoum banay gi or agr inki talemotarbiyat bekar qism ki hogi to wo qoum pasti kay gehray gharay main ja giray gi-
pakistan ko mazboot or mustahkam krnay ki zimadari kisi aik fard pr ayad nahi hoti bal k hr os fard pr ayad hoti hai jo is watan ka sapoot kehlata or yahan rehta hai jo is matti main pal kr jawan hota ha-jo is ki khobsorat wadiyoon sy lutfandoz hota hai-is kay sabza zaroon say apni aankhon ko tarawat pohanchata hai or azadi ka sans leta hai-pakistan hamara watnay aziz haiis say hamari umeedain wabista hain or is ki tameerotaraqqi krna hr pakistani ka farz hai is fehrist main talba bhi shamil hain talba ka tabqa mulk ka behtareen sarmaya or mulk kay roshan mustaqbil ki zamanat ha-
Hamara nizamay taleem is qism ka hona chahiaye jis kay tehat tarbiat pa kr hm main  fikr or tehqeeq o tajasus ka shauoor paida ho jo hamari salahiyatoon ko is qabil bana day k hm kisi doosray kay muhtaj na houn-talba ko chahiaye kay wo mulk ki falahi tanzemon mail hissa lain or falahi kamo main hissa lay kr watan ki khidmat ka fareza ada karain talba ka farz hai kay wo taleem ki taraf zada tawjja dain  q k moujoda dour taraqqi ka dour hai is dour ki sub say bari zarorat fanni maharat or peshawarana taleem hai-
Ye machini dour hai-hr hunarmund admi ki aik adeeb say zada ahmiat  hai- hunarmandi bayrozgari ko khatam krti hai-hamaray mulk main fanni idaroon ki bht kami hai-hukumat ko chahiye k wo zada say zada fanni idaroon ki tameer karay ta k talba fanni taleem hasiil kr k mulk ki bharpoor kidmat kr sakain or pakistan ko taraqqi k rastay pr gamzan kr sakain-hamaray mulk kay talba nay jesa kay tareek gawah hai k unho nay hr aaray waqt main mulk o qoum ki kidmat ki hai-Tahreekay pakistan main talba ka bht hissa hai iski kamyabi kay liay unho nay qarya qarya pohnch kr logon say mutalbay-e-pakistan manwanay main ahm kirdar ada kiya or kud bhi bht qurbaniyaan di-1965 or 1971 ki jang main bhi sub say zada talba nay hi zakmi fojiyuoon ko khon k atyat diay -is tarah talba mulk ki Matay-e- baybaha hain-
Zarorat is bat ki hai k talba kay joshay shabab say kam liya jaye or in kay jazba-e-hubbulwatni ko obhar kr in kay liay layah-e-amal mutayyan kiya jaye ta k talba aala kirdar k malik bun kr mulk o qoum kay liay azeem sarmaya sabit houn- 

10 comments:

  1. Saila..kia tum ko nahi lgta k ek blog k liye kafi Mushkil Alfaz istemaal kiye hayn tum ne? Blog thoray Dilchasp andazz mein likho.. Mazmooon ka look araha hay.

    ReplyDelete
    Replies
    1. They aren't mushkil alfaz they are easy, and used in our everyday life. I'm a 8th grade student and I don't feel that the word choice is difficult to understand

      Delete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. nice..ap or tarqi kren agay

    ReplyDelete
  4. zbrdast essay hy yaar

    ReplyDelete
  5. Exactly what I need

    ReplyDelete
  6. Awesome!! facebook.com/Super6r

    ReplyDelete