Ek zamana tha jab 13,14 saal ki umer mai shadi kardi jati
thi jab kay us zamany mai 13 saal ki ladki ko shadi ka matlab bhe theek say
pata na tha. Meri dadi apnay bachpan mai hony wali shadi kay bary mai mujhy jab
batati hain tu mujhy buhut hansi atti hai yaqeenan aj ki noojawan nasal es baat
sa bakoobi wakif hogi kay es waqt 13 saal ki ladki nasamjh samjhi jati hai
shadi tu buhut door ki baat hai
Zamana badal gaya hai
aj ki 13, 14 saal ki ladki shadi kay lie tu tayar nhi magar facebook par
apna status single sa tabdeel karkay (in a relationship)ya (open relationship)
likhnay ko zaroor tayar hai or noojawanu ki aksaryat ka facebook par dating or
looking for relationship ka irada saaf nazar ata hai. Yahe haal teenagers ladku
ka bhe hai 90% noojawan hain jinhai
girlfriend ya boyfriend ki talaash ya yah purany girlfriend ya boyfriend say
jan churany ki aas… mulq kay halat kuch
bhe ho in mamlay mai itni yakjheehti bhe nazar ati hai, pyar bhe……
Aj kal na ladky kam hai na ladkyan. Ladkyun ki sooch yah
kay hum q peachy rahai in kamu mai jo buhut hi galat sooch hai kuch media ka
kasoor hai kuch parents ka or kuch net ka bhe mera sawal noojawan nasal say a
hai ek humari youth sirf in kamu mai kune itni agay hai inhi kamu mai hi
yaakhjeehti kune??? Jo lower class or illleterate loog mai shadiu under age kay khilaaf sir garam nazar atay
hain in taleem.e.yafta upper class or middle class kay loogo kay bachy es waqt
girlfriend ya boyfriend kay relation ka shikar kune hain?
Kisi ko pasand karnay commitment karny mai koi burai nhe hai lakin aj kal bus jazbat sa khela jata hai. Jo rishty or pyar ki kahaniyan sachai par mubni hua karti thi ab khuwabu o khayal hogai hain.Ab rishty ko 2,4 month ya hud hoi tu 1 saal ahmiyat diii jati hai eskay baad new year goal mai girlfriend ya boyfriend tabdeel karny ka goal sab say awal hota hai…
Har rishta sachai ki bunyaad par qaim hota hai intehaai
sharamnak baat hai kay apnay sukoon or mazay kay lie jo noojawan hud sa guzar
jaie or dusooru ko dhuka dai ya buhut galat hai es baat ka ehsaas ya sab parhty
houi bhe na ho lakin jab yah waqt guzar jaiega tab es baat par zaroor pachtaawa
hoga…
han waqai larke larkian mazay lene k lie hi aisi harkatain karty han ya phir ek dusron sepaisey batorney k lie...just tym pass
ReplyDeleteye ek trend ban chuka ha.... or agr ksi ka boyfriend ya girl friend na hon to unko old fashion smjha jata ha... jo k bht galt ha...
ReplyDeletegood keep it up..
hmmm u r ri8... muhabbat ko tym pas k naam py badnaam kiya ja raha h
ReplyDeletehan g
ReplyDelete