ZARA SOCHIYE!!!!!
“Oye yaar zara ye bachi check kar” … “Hello!
Chashmesh, CHASHMESH!!! “ … “Shanay! Rock star dekhi hay, ant hay yaar” … “yeh
bachi dekh bohot tite maal ha yar” … "wo dekh aisa kar yeh tu rakh ley or wo wali mai rakh leta hn"... “Uncle! Mor zara speed main katna,
cheekhen suni hain” … “wo break lagtay hi cheekh marainge” … “Agar tu boley to teri bhabi bana
lun” … “Dekh to natti jarahi ha”
Aj kal
nojawan is tarha ki gandi zaban bolty hue nazar arahe han….. aty jaty larkion
ko tang karna unpe comments pass karna unka mashgala ban gaya ha lekin wo kabhi
aisa nae chahyenge ke unki ama bhno pe koi aise jumle kasy…yeh hain aj k nojawan
jinpe inke maa baap khin se bhi karke inke talemi akhrajat utha rahe hain…..yeh wo
nojwan hain jinko Pakistan ki tamer o taraqi ka bera uthna ha….
Kia ap soch
sakty han k ye log aisa karpaenge?????
Talib
ilm, jinka maqsad sirf achi percentage lena, semester pass karna ya phir degree
hasil karna ha jo k kuch nae bs ek kaghaz ka tukra ha...wo kabhi koshish nae
karenge logon se bat karne kay, maashrey mai zindagi guzarne k kch adab sekhne
ki…..yeh apne mulk, apne institution ko kia represent karenge????
Kabhi
kabhi mujhe yeh sochne pe majboor kar dety hain ke unke waldain akhir hain kahan??
Kia wo khuwab ghaflat ka shikar to nahi???wo
apne bachon ko ek achey mashrey mai chalne k tor tareeqe q nae sekhaty
hain??? Q har dafa ek aurat ko hi tanqeed ka nishana banaya jata ha?mard hazrat dusri
aurton ko to tanqeed ka nishana banaty hain per yeh kabhi nahi chahainge kay unki
aurat ko koi tanqeed ka nishana banay….
Mujhe
pata ha bohot se log yeh soch rahy honge kay yeh words to sirf chillout karney kay lie bolay
jaty hain…lekin zara ek minute kay lie sochiye agar ap kisi larki per hans rahey han
ya uspe behuda comments pass karhey han to kia yeh bhi chill out karne kay lie
karhey hn??? Agar is ka jawab han main hai to bari afsos ki bat ha…apko ek bar
phir se nursery class se taleem hasil
karny ki zarurat ha or agar koi institute aisa nae ha jo apko ikhlaqiat ka sabaq dey to phir HAZRAT MOHHAMAD (S.A.W.) ki sunnat pay amal karney ki zarurat ha.
Yeh
meri iltija ha is mulk k tamam logon se jinhone mera yeh blog parha please sirf
apne bacon k achey grades pe hi focus na karen unko mashray mai ek acha
bashaoor insane banay mai positive role
ada karain take wo apni society or apni zindagi ko bhetar ban sakain….
Sirf
position or gold medal lena hi zaruri nahi uske sath sath knowledge or wisdom
bhi ek achi zindagi guzarney kay lie zaruri ha …. Otherwise hum sirf wo mashara
tashkeel dainge jiske pas koi maqsad koi aim nae hoga zindagi basar karney kay
liey…
nice blog :p
ReplyDeletegood rubab bht acha aur bilkul thk likh hai keep it up...
ReplyDeletekeep it up =)
ReplyDeletezabardast... kash hamari nojawan nasal inn baaton py ammal kar ly or un main kuch shaoor aa jaye.... kyun k ye chezen waqai bht nagawar lagti hain... bht aala likha h Rubab im impressed
ReplyDeletethnxxxxx :)
ReplyDeletewelxxxxxxxxxxxxxxx :)
ReplyDeletefantastic rubu AWSUM
ReplyDeletegreat job...keep it up :)
ReplyDeleteoye rubu bht tite lkha ha... oopsss. bht acha lkha ha.. :P
ReplyDeletehahahahahahaha:p
ReplyDelete