Tuesday, 20 March 2012

PUBLIC TRANSPORT’KHAWATEEN K LEAY DARD E SIR…….






Aajagr hum dunya k taraqqiyafta muklkoonki buses kahaal dekhain to dilkhush ho jata ha q k un mumalik men buses k safar ko na sirf aaramdeh or susta banana k leay iqdamat keay jatay hain bul k musafiroun k haqoq k leay bhe moasser qawaneen moujood hain.jub k agr hamaray shaiher main buses ke halat dekhi jai to ye keh na galat na ho ga k aaj buses main safar aik dard e sir ha.aaj buses main safar kr na aik mushkil bun chukka ha. Hamaray yahan khawateen or mardoon k leay alag alag hissay banae jatay hain is k bawajood khawateen ko tarah tarah ke mushkilat ka samna krna prta hai. buses main aik taraf khawateen ko mard musafiron ,condectaroon or driveroon ke taraf say pareshan karny jesay waqiaat ka samna karna parta hai.aaj hamari buses main musafiroon ki aapus main ya condector or driver say tutu main main jaib tarashna, purskatnay k waqiaat, buses main muktalif cheezain bechnay waloon ki aawazain dukhdard say bhari aankhain ,khawateen ka mamoli mamoli baton pr larna, dosron k paun pr paun rakh denay pr takrar or baz ooqat galam galooch or in sab masail say bharkar sub say zada takleef dhe baaz mardoon ki chubhti nigaheen or is chotay say dabbay numa hissay k aglay darwazay say zabar dasti aanay janay walay mardoon k danista ya nadanista takrar or baaz ooqat condectaro ki ulti sedhi harkatain meri tarha aapka bhi mu shahid banay hongay. Abhi kuch din pehlay hi mera aik bus main safar kar nay ka ittafaq hua or safar k doran jo waqia pesh aaya mujhe os pay bht heart k sath sath shaded dukh b hua,hua kuch yun k jis bus main man thi os main bay intiha rush tha or aik paun tak rakh nay ki jaga nahe yhi, itnay main aik khatoon nay bus ko ruk nay ka ishara kia or bus main bari mushkil say sawar ho gain, unko khawateen or mardoon k compartment k ain darmian main jaga mili, abhi bus chaly thori dayr he hoi the k un khatoon or aik adheer umer shaks k darmian buri tarha takrar shuru ho gai, khatoon k mutabik wo shaks kafidayr say un ko choony ke koshish kar raha tha, orourat k jharaknay par wo dhitai say olta usi par baras para, isi asna main in k sath kharay aik larkay nay kaha  `baba g! galti aapke hay behas na kareyn, bal k maafi mang layn warna hum aapke umer ka ehsas nahi Karen gay” phir kaheenj a k masla hal hoa.

Aaj khawateen taraqe, taleem, sehat sameet degar sahoolateen day ny ke baat kej ati hay lakin maray khyal main sub say phalay in ke aamad-o-rafat ka masla hal ho na chahey. Hukumat ko chahey k khawateen ko ghar say bahar nikal kar safar kar nay ke mehfooz sahoolat farhaam kayay-taleem, roozgaar, ilaaj or deegar sahoolaton say faida otha nay k leay bahar nikla jata hay or agar safar ke sahoolat main angina mislay dar paysh hon to degar sahootaen laa-hasil he rahen gee.

3 comments:

  1. bht acha likha h n waqai hukumat ko iss eham masly ki taraf tawajah dyni chahye iss k ilawa khawateen k compartment ki seats bhi na hony k barabar hoti hain n aksar oqaat mard hazraat un py qabiz hoty hain..

    ReplyDelete
  2. waqai yar dard e sir ha.....keep it up :)

    ReplyDelete
  3. khuwateen ko in mardu ki waja se jo masail pesh aty hen unki fehrist bht lambi ha. good one :)

    ReplyDelete