Tuesday 13 March 2012


Beauty parlour

Khoobsurat nazar any ki khuwaish har koi karta ha…khawateen is hawaly se ziada hasas hoti han…is liie har choty barey shehr mai beauty parlours ki bharmar hoti ha..jahan khawateen chehrey kay husn ko dobala karne ke lie jati han…
Aksar beauty parlors mai khawateen o mard ke sath jo suluk hota ha is ke natejay main in ke chehry per beauty nam ki koi cheez dikhai nahi deti..albatta in ki karigari se in ka asal chehra zarur chup jata ha…

Jab chahain ek nai surat bana lety han log
Ek chehry pe kai chehry saja lety han log

Yun to dilkash baney ki dor mai mard bhi peechey nahi hoty lekin beauty parlours ki amdani ka asal or mustaqil wasila khawateen hi hain

Khud kaley kawaay jesi rangat rakhne waly mard aisi gori chiti rangat wali larki ko dulhan banay ke khuwaish mand hoty hain ke jis ki anday or dudh se bhi ziada gori rangat or narm o mulaim jild ho jo parion or huuroon se bhi ziada haseen o jameel nazar ae… aise mard hazrat ki aisi ajeeb o gareeb shart or in ke apne rang o roop ki waja se waldain ke liey larki talash karna sakht mushkil hojata ha.. lekin phir bhi in ke naseeb se koi na koi larki mil hi jati ha…

Agaey inki qismat…….ke jis larki se inki shadi hui ha wo inhi beauty parlors ki badolat chand ka tukra lag rae hoti ha :P
Per haey re qismat!!!!! Agli subha jab dulhan mun dho ke apne asal rang o roop main samney ati ha to jaisey in ke saraey khuwab mati mai mil jaty han or unki marney jaisi kafiat hojati ha…


Palat ke dulha aisa bhaga phir nahi wapas aya
Subha sawery dulhan ney jab apne mun ko dhoya

Yeh makeup specialist ka kamal hi hota ha ke wo 50 sala B B ko kisi film ki BABY or 55 sala mard ko filmi college ka STUDENT bana dety han
Is shair mai bhi aisey hi kisi shahkar beautician ke bemisal fun ko kharaj e aqidat paish kia hoga jisne burhion ko jawan banay ki karigari dekhai hogi…


Beauty parlour se pehley
Wo aik masum burhiya lag rahi thi
Magar makeup karwake jab wo nikli
Bari afat ki puriya lag rahi thi
 

Pehley zamaney mai beauty parlours ka rukh sirf balon ki cutting ya phir kisi kahs function ke lie makeup karwaney ki gharz se hi kia jata tha lekin ab students or mulazmat paisha khawateen mai roz hi chehry ko makeup main chupany ki adat aam hogae ha….

Jabke ALLAH TALLA farmaty han ke:

“Humne insan ko behtreen surat mai paida kia ha”

9 comments: