Larkian
or Unke Khuwab
Har
insane ki khawaish hoti ha k jeevan sathi k tor per isey iski manpasand
shakhsiat naseeb ho…khawateen ki tawaquat qadarey ziada hoti han…qk unhne ek
ghar chor kar dusrey ghar jana hota ha…islie wo khwaish zahir karti han k unhe
susral mai har khushi or sahulat maisar ho…
Yun
kahiye k ye khuwaish kam or tawaqo ziada hoti ha..or is ki takmil ideal k husul
ki surat mai puri hosakti ha..aam tor per larkian ek barsary rozgar,khoobsurat
or mohabat karney wale shohar ki khuwaish karti han…yeh 3 sharait inhain
khushal zindagi ki zamanat deti han..
Har
larki ki yeh khuaish hoti ha k wo achey se achey ghar mai bihaee jae jahan ise
har asaish mile,jahan mohabat ho wahan har qisam k ikhtalafat khatam hojaty
han..magar ab internet,mobile or media ne mohabbat ko bhi fashion bana dia
ha..jo badalta rehta ha..
Ek
zamana tha jab larkian thori kami beshi pe bhi itafaqa kar leti thi..achi
nokari ha or larka adat ka bhi acha ha…to bhalla zahiri khoobsurti ka lalach
kia karna…khoobsurat or shareef hai to mamuli nokari per nakhra na karna chahye
k dolat to aurat ki qismat se bhi ajati ha…haan sharafat or aadat per smjhota
nahi kia jata tha…jahan bhi bhanak pari k larka buri sohbat ka shikar ha ya
mijaz ka kharab hato larki khud hi mana kar deyti thi
Waqt
badla,mijaz badly,mutalbat or tawaquat mai bhi tabdeeli ai….. cindrella ki
tarha aj bhi har larki shehzady ki muntazir ha lekin is shehzady ka khaka kch
tabdeel hogya ha
Aj
k dor ki har larki aise jeevan sathi ki mutalashi nazar ati ha jo achi post per
faiz ho ya iska bht bara or kamyab karobar ho..taleem ki shart to kisi surat
khali nae jasakti..iske sath sath iska zati ghar hona zaruri ha…shehzady sahib achi
shaksiat ka malik zarur ho..wo na sirf modern tarze zindagi apnea hue ho balke
apni biwi pe bhi kisi qisam ki rok tok na karey
Choti
moti nakari karne wale larkon ko shehzady ki khuwaish rakhne wale larkion ki
list maise kharij hi samjhey…lekin ALLAH tala ne unke naseeb mai b kisi na kisi
larki ka ana likha hi hota ha….
Keep it up good working...
ReplyDeletethnxx
ReplyDeletenyc blog
ReplyDeletehan pta nai lrkiyan ye q nai sochti k shadi k bad agr ALLAH na kre usey koi nuksan hoa to wo kiak rengi
ReplyDeleteAik jesi hoti hain choriyaan or larkiyaan... :(
ReplyDeletebohat aala
aj kal larkiyon ko larka nhe... dictionary chahey hoti ha... js mai sari ki sari khubiyan (words ki surat mai) bht achey se hoti hen...
ReplyDelete