Wednesday, 14 March 2012

SAHRMEEN OBAID CHINOY......

 
Andheru mai roshini ki kiran jagmagany wali Sharmeen Obaid Chinoy nay oscar award jeet kar pury mulq ka sir fakhar sa buland kardia hai sharmeen nay ya baat sabit kardi kay pakistani khauwateen salahiyatun kay etibar sa dunya sa kisi toor pechy nhi hain eskay bawajood kay humary yahan ki autun ko agy barhnay mai buhut si muskilu or rukawatu ka samna karna parhta hai Sharmaan nay apni film SAVING FACE mai ek buhut he achay topic ko highlight kia hai wo khuwateen jin par teezab phenk kar unhai ek zinda laash banadia jata hai…
Mairy khayal mai es film mai jo dekhaya gaya wo 100% true hai humary mulq mai kia aurtu ki koi hasiyat hai ? Bachiyun kay schools ko jaladia jata hai,kabhe khawateen kay galay kat kar unki lashain latka di jati hai,kabhe unhai jinsi tashadud ka nishana bana dia jata hai humaray lie ya buhut fakhar ki baat hai kay Sharmeen nay 84 sal mai pehli bar apni documentry film bana kar mulq kay lie na sirf oscar mai nomination hasil ki hai bulkay award bhe hasil kia. 84 saal mai  pakistan pehli bar es award mai shareek hua or pehli hi dafa mai meedan marlia. Lakin kuch laago ko humari es kabiyabi mai khush nhi hoi wo kahty hain kay Sharmeen nay humary mulq kay negative points dkhaie hai mai un loogo sa dissagree karungi kay agar hum un cheezu ko highlight nhi karaiengy tu wo cheezai tu phr kabhi nhi khatam hosakti es tarhan tu phir hum kabhi taraqi nhi karsakty. Esi kabiyabi ki badulat humaay mulq kay lie kitnay darwazay khul chukay hai es baat ka humai shayad andaza nhi mai bus yahi kahoungi kay sharmeen I slute you you done a fantastic job….. pakistan kay har bachay ko chahe kay wo pakistan kay kisi bhe hissay sa taluq rakhty hun apnay mulq ka nam roshan karai loogo kay mindset change karai humari yahe koshish honi chahe kay humara kal  Sharmeen Obaid Chinoy jesay logo kay hath mai hona chahe na kay Waheeda Shah jesi khauwateen kay hathu mai!!!!!!












3 comments:

  1. good one...
    sahrmeen obaid chinoy jesy log agr hmari industry mai aen gye to hmari film industry phir se apny pairon pe khari ho skti ha..

    pr agr saving face k mouzu jesy hi masali hr bar hmary samny aen to hmara mulk kbi taraqi nhe kr sakta..

    ReplyDelete