Monday, 26 March 2012

HAMARA MEDIA OR KAWATEEN


Aaj hum apnay zaray-e-ablag ko behtar or moassar tareqay say istimmal kr k Pakistani kawateen main pehlay say kaheen zada shaoor or aagahi peda kr saktay hain ta k kawateen dewar say lgnay k bajae hamaray mulk ki behtri k liay kaam kr sakain-hamaray mashary main kawateenpr tashudud or mardo ka inhain apni malkiat tassawr krna koi nai baat nahi hai- mojooda taraqqiyafta dour mainkawaten jok dunya ki aabadi ka nisf say zaid hissa hain in k masail or mushkilat main din ba din izafa ho rha hai-
Aaj hamara mulk or hamari civil society dono hi tabahi ka dahanay pay kharay hain-aisay waqt main hamari hukomat ko chahiye k wo apni kawateen ko nazar andaz krnay ki bajaye sath lay kr chalay or apni abadi k nisf say zaid hissay ko jeenay ka mukammal haq day-inko doosray drjay ka shehri samajhnay ki or in k haqqoq khanay ki bajyeinko mulk ki tarriqi main bharpoor shirkat ka moqa dain-in ma taleem aam krnay k liay iqdamat karay,sihat say mutaliq in k masail ko hal karay-hukomat k sath sathhamaray media ko bhi ye bat samjhna chaye k kawateen k bagair media bhi mukammal nahi hota or ye aik haqeqat hai k kawateen main shaoor peda krnay or inko baizzat maqam dilanay main hamaray media ka bht ahm kirdar hai-
Aaj hamaay mulk k dehi ilaqoon main kawateen ki bari tadad janwaro ki tarah zindagi guzarnay pr majboor hai-jab k 70-75 percent abadi aabad hain, janhan ki kawateen anparh hony ki waja sy bay tahasha masail say dochar hain-mamaray media ko dehi kawateen k masail ko focus krna chaye or ourton pr honay walay zulm  or nainsafiyoon pr na sirf mhmko kud awaz othni chaye bul k baiktiyar logo ko majboor krna chaye k kawateen k sath honay walay hr qism kzulm ko roknay main apna kirdar ada karain-aaj Pakistan jin badtur or mushkil halat ka samna kr rha haior mulk ki maaieshiat tezi sy kamzoor ho rhi hai or mulk ki salamti ko bht qatra lahaq hai,aisay main bht zaruri hai k hum mulk ki abadi k nisf sy zaid hissay ko sath lay k chalainor inko bhi tarriqi k  wo tamam moqay diay jain jo k inka haq hain- ta ka hamara mulk bharpur taraqqi kr sakay-

2 comments: