Modern dikhna or western tor
tariqe apnana aj kl jese logon ka pasandeda mashgala bnta jaraha.
Hum ALLHAMDULILAH musalman hai
or ek muslim muashre se taluq rkhte hain Islam k tortareqon ko apnana or unki pervi krna hmara
frz hai. Lekin aj hum sb js raste pr chal rahehain js trhan se apne islam ko
naya rukh de rahe hain kia hm sahi hain. Youngsters Pakistan ka future hain hum inqilab le k
ayenge,hum duniya ko bdlen ge lekn hum apni qoum apne muashre ki halat bdlne k lye khd ko q bdle. Aj jo
insane duniya ko dihan mei rkh kr duniya ko bdlne ka khta hai
us ki wah wah hoti hai lekn
agr koi shaks Quran E Hakeem k or ALLAH k RASOOL Salal La Ho Alaihe Wasalm ki talemat ka drs de kr duniya bdlne ki baat
krta hai to usko MOLVI kh kr ignore kia jata hai.
Kia hai western muashre mei aesa jski wja se
hm uski taraf khnche ja rahe hain.
DO THEY HAVE ANY MAGNET????
Jb Pakistan bna tha to usse phle
musalman jahil the phr SirSyed Ahmed Khan ne muslmanon ko ilm ki dolat se malamal krne mei ek
bara krdar ada kia or unhone Oxford
or Harward k asoolon ko muslmanon ki taleem ka hissa bnaya. To wo
asool b to un hi angraizon k hain jn se pecha churane k lye un asoolon ko
apnaya gya.
Western culture,brtishers
punctual hain,disciplane hain,wahan logon ko tawaja d jati hai,wahan insane ki
zindagiyon ki qeemat hai,wahan corruption
nahi,bharose mnd log hain ye sb baten unhone kahan se skhi QURAN se.
Ye ek ek cheez QURAN mei hai. QURAN wo
kitab hai js mei hume humari zindagi k har phlo k bare mei malumat mlegi lkn phir b jb koi hume QURAN ki taleemat
k mutabiq zindagi guzarne to hum usey yeh kh kr k bht parsa hai ya
phr dakianoosi hai usey chup kra dete hain lkn
sch to yeh hai k asal kamyab insane wo hi hai jsna QURAN sekha,smjha,amal kiya or dosron ko
is k bare mei drs dia.
Aj kl hr dosre musalman ko ALLAH se
shkwa rhta hai k wo hmari duain nai sunta lekn asal mei hume usse shkayt krne ka koi haq hi nahi qk jo
rasta usne hume hmari rhnumai k lye dkhaya hai wo to humne apnaya hi nai phr ks
baat ka shikwa….
QURAN hum sab k lye rahe nijaat hai dunya ki or Akhrat ki pareshaniyon se.
nyc 1
ReplyDelete