Thursday 22 March 2012

KOI BATLAO K HUM BATLAYEN KYA.....

Kisi ne kya khoob kaha hai k...

JEETEY HAIN TO HAAL TAK BHI NHI POOCHTA KOI,
DAM NIAKL JAYE TO KAANDHON PY UTHA LAITY HAIN LOG...

Waqai ye dastoor-e-zamana hai k marne k baad log marhoom ki shan main aise aise qasidey parhty hain k aqal dang reh jati hai.Aksar mayyaton main jane ka ittefaq hota rehta hai wahan khawateen ki aapas ki guftagu sun kar uss gham ki mehfil main bhi mujhe hansi aa jati hai.. Baaz khawateen to marney wale ko koi intihai muqaddas hasti aur walli-Ullah sabit karne ki sir torh koshish karti hain aur un ko marney waley k chehrey py nadeeda NOOR bhi nazar aa jata hai kuch ko to muskurahat bhi nazar aa jati hai.
Koi khatoon farmati hain k mujhe to aik din pehly hi khuwab main ishara mil gaya tha k ye faut honey wale hain.

 Meri aik causin sahiba to Allah jhoot na bulwaye khandan ki her mayyat per ye kehti hui payi jati hain k main ne raat ko khuwab main daikha tha k mere daant toot gaye hain.In muhtarma ny daant girney ki tashreeh ye bata rakhi hai k iska matlb hota hai koi mayyat hone wali hai..(Un k issi khuwab ki wajah se main ne poore 30 rupey ka kharcha kar k khuwabon ki tabeer wali kitaab kharidi ta k mujh na chez ko bhi pata chal sake k kya wo MUQADDS HASTI (meri Cxn :D ) sahi farmati hai to pata ye chala k daant girney ka matlb koi khushkhabri milny wali hai)Ab mayyat ko hum khushkhabri to hargiz nahi keh sakty..

Kher aik aur sahiba bhi hain jo ye daawa karti hain k koi BABA JI hain jo unko kisi bhi nagahani ki ittlah khuwab main aa kar de jaty hain.. Arey bhaee koi un se poochey k agar Baba ji nagahani ki ittelah tumhen pehly hi dey jate hain to waqiya hone se pehle hi kyun nhi bata daitin k ye hone wala hai?????? Tum hamesha waqiya hone k baad hi batati ho k "JI MUJHE TO PEHLEY HI PATA THA".

Iss k ilawa jab bhi koi wafaat pa jaye to aziz,rishtedar,milney julny wale jo chahe marhoom ki zindagi main un se milna bhi gawara na karet hon aur peet pichey buraiyan karte phirte hon wo un marhoom k sab se qaribi aur deyrina sathi aur rishtedaron main apna shumaar karwate hain aur ye bhi zarur bataty hain k aakhri baar jab unki mulaqat hui thi to marhoom ne unse kya baaten ki thn..(Aur baaz logon ko to marhoom ne bohat eham raaz bhi bataye hote hain iss waadey k sath k kisi aur ko mat batana main tumhe apna samajhta hoon iss liye apna ye raaz SIRFFF tumhe bata raha hoon)


Aur marhoom k ghar waley...... janab un k to kya hi kehny! wo to her aaye gaye ko marhoom k subha uthne se ly kar jo mamoolaat bayan karna shuru karte hain k... "Marhoom achey bhaley subha uthey,washroom gaye,toothpaste nikala,brush per lagaya,phir daant brush kiye taqriban 2 minute tak kiye honge,halan k mouth wash rozana nahi karte thy lakin uss din kiya! phir mu dhoya,phir towel se mu saaf kiya(Baqaida mangwa kar uss muqaddas towel ki ziyarat haazrin-e-mehfil ko karayi jati hai aur sitam ye k her bande k hath us muqaddas towel ko lagwaye jate hain chahey uss bichaery ka dil kare ya na kare magar dukh ka izhar karne k liye uss ko aqidat se aik baar uss towel ko zarur thaamna hota hai) kher kahani aagey barhaty hain to mu khushk karne k baad marhoom bahar aaye,baalon main NEELAY kanghy se kangha kiya,phir nashta kiya,nashte main anda liya(Anda marhoom ko bohat pasand tha) hak haaa.. ( Thanda saans) chaye ka aik cup liya,phir akhbar parhne lage aur parhty parhty guzar gaye...

Ab aati hai baari muhaleh ki khwateen ki jo pursey k liye tashreef laati hain un ka bhi kya MASOOMANA andaz hota hai.. Maloom bhi hota hai k banda wafaat paa gaya hai phir bhi aaty hi pehla sawal ehl-e-khana se ye karengi... "KYA HUWA??" Arey Allah ki bandi ! Elaan ho gaya , janaza tayyar hai, kafan pehny mayyat samne rakhi hai.. Aur tum abhi bhi pooch rahi ho k "KYA HUWA??" Aisi khwateen ko to mera dil chahta hai k kahun.. "Bibi kuch nhi huwa hum zara MAYYAT MAYYAT khail rahe hain"

Aur kuch log to janab aisey bhi hoty hain jo mayyat k utnhy k intizar main hoty hain k kab mayyat uthey aur wo biryani aur zardey se insaf kar saken.. Aur janab biryani aur zardey ki pur takaluf dawat k baad ye sogawaar TAQREEB apne ikhtamaam ko pohunchti hai..

6 comments:

  1. hahahaha nyc waqai aisa e hota ha =)

    ReplyDelete
  2. hahahahaha...... IBN_E_INSHA se mutasir lagti ho...
    gud keep it up :)

    ReplyDelete
  3. hahahahahahaahhaha... hmm halka phulka likhny ki aik nakaam koshish ki h qk kafi sanjida likhti hn m :(

    ReplyDelete
  4. :-) 4TH AUR 2NDLAST PARAGRAPH K TO KIA HE KEHNE HYN :-d and no doubt k pura blog he nihayat zabardast likha gaya hy bAlkay shuru ta aakhir pdhne walay ki concentration grab kiye huay hy JO K IS BLOG KO FARHANA KA AB TK KA BEST BLOG SAABIT KRTA HY AUR BLOG K AETIBAAR SE BHI IS MYN TAMAM ZARURI NUKAAT SHAAMIL HYN.!! i Must APPRECIATE THIS EFFORT .. HATS OFF.!!

    ReplyDelete
  5. awwwwwwwwwwww :) thank u so muchhh yarrrr :)

    ReplyDelete
  6. yaar sch btaun mei to bht dkhti hun apne dant tootte hoe khwab mei bt ALLHAMDULILAHkbi aesa kch nai hoa mere sath

    ReplyDelete