Thursday 22 March 2012

Jashn-e-Baharan.

Ye wo jashn ha jo kisan bhai apni saal ki pehli fasal k kaatny pe manatee hen... or ye mouqa mousam-e-bahar k agaaz mai ata ha islye isko jashn-e-baharan kaha jata ha or ziyadar tar log isko Basant ke naam se janty hen. Chun k Punjab hmary mulk ka wo hisah ha jahan sb se ziyada fasal lagai jati ha, islye wahan k log is jashn ko bhot hi josh-o-kharosh se manatee hen… is mouqey pe phoolon ki sajawat ki jati ha, trha trha k pakwan bnaey jaty hen, patank (kites) urai jati hen, log ghul milty hen, apny dukh dard bhul jaty hen or kuch wqt hasi khushi sath guzarty hen…



Ab kya is mai koi kufur ha…!!! Kya patank urrana Islam mai mana ha? Ya apni pehli fasal ki khushi sb k sath share krna galt ha?  Ya phoolon ki sajawat krna galt ha…? yaqeenan nahe… na to is mai koi kufur ha, na hi Islam mai isko mana kia ha, na hi is mai koi burai ha k apni khushi ko kisi k sath share krna… is saqaft ko kisi ek mulk se jor dyna ya hinduyon k sath jor dyna shayed is saqaft k sath na insafi ha… q k is mai koi b chez asi nhe jo Islam mai mana ha… or rahi bt is k naam ki.. hindu is tehwar ko Vasant k naam se manatee hen jo k in k kuhda ka naam ha... or hm musalman is ko jahan-e-baharn ka naam se manateen hen jo k bahar k mousam ka jashan ha.

As a Muslim mjhe is mai koi burai nahi dkhti… Q k hmary is mulk mai Religious Culture k ellawa baqi sarey cultures neighboring countries se adopted hen. Phr agr asey mai hmarey kisan bhai is jashan ko maana k thori dair k lye khush hojaty hen, kuch dair k lye mill behty hen to kya galt krty hen…!!!  Ya kisan bhaioyon k sath sath or shehar k log bhee is khushi mai shamil ho jaen to kya galt hai…!!!

Ab agr koi ye kahey k Patank baazi k duran bhot si jaaney chali jati hen, logon k galey kat jaty hen manjey ki dor se, ya phr ye patanken kisi bijli ki taron mai phas k is ko uurrany waly ki mout ka sabab banti hen. Or pal bhar mai ek hansty kehlty ghar mai matam ka saama sajh jata ha. Islye hm ko jashn-e-baharan nahi maanani chahey….

To hm ko asi surat mai is ki asal wajah jani chahey k asa q hota ha. Is ki kya wajah ha… kya is ki wajah patank baazi ha ya phr is patank ko urrany k lye jo manjah use hota ha is mai kanch ka istemal ha…!!! Ek dusrey ko haarany k chahkr mai, ek dusrey se agey nikal ny ki dour mai log manjey mai kanch ka istemal krty hen ta k wo ba-asani is kehl mai jeet jaen… or asa kr k ek healthy activity ko non-healthy activity bana dyty hen… jashan-e-baharan maanany mai koi burai nhe pr hm ko apni limits mai rehna chahey kehl ko kehl ki trha hi leyna chahey na k kisi jang ki trha

Hm ko is k manfi pehlu k sath sath is k masbat pehlu ko b dkhna chahey.. hamarey mulk ka is waqt jo negative image ha is trha k festivels ki waja se us ko khtm kr k soft image mai tabbdil kia ja skta ha. jashan-e-baharan ki wajah se har saal bhot se tourist hmarey mulk ka ruk krty thy js ki wajah se hmari economy pe bhee behtar nataej nazar aty thy. lekin jab se is pe pabandi lagi ha, logon ka ek zar-e-mash cheen gaya ha. is k sath hi hmry mulk ka negative image b bhot ziyada dusry mulkon pe parha ha.

                                                                                   








Hm ko is k manfi pehlu k sath sath is k masbat pehlu ko b dkhna chahey.. hamarey mulk ka is waqt jo negative image ha is trha k festivels ki waja se us ko khtm kr k soft image mai tabbdil kia ja skta ha. jashan-e-baharan ki wajah se har saal bhot se tourist hmarey mulk ka ruk krty thy js ki wajah se hmari economy pe bhee behtar nataej nazar aty thy. lekin jab se is pe pabandi lagi ha, logon ka ek zar-e-mash cheen gaya ha. is k sath hi hmry mulk ka negative image b bhot ziyada dusry mulkon pe parha ha.

6 comments:

  1. good keep it up... Awaam ka apki raye k sath muttafiq hona zruri nhi buhahahahahaha:p kher acha likha h keep it up :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. han to personal point of view ha... hr chez k do pehlu hoty hen dono trf dkhna chahey. :)

      Delete
  2. yaar hm hr cheez ka neg phlo dkhte hain positve phlo chah k b ignore krte hain kaha lkha hai k khushi nai mnana chaiye ksi b cheez ki

    ReplyDelete