Thursday, 29 March 2012







    Target Killing!!!


Jahan thi rasam aman o ashti ki
Wahan ab sirf bandooq agae ha
Nahi yeh kam insane kay bus ka
Koi na dedah makhlooq agae ha



Mera sheher Karachi insane khoon se rangeen ha jaga jaga insane khoon ki bu pheli hui ha or aaj insane to insane is sheher kay janwar bhi golion ki tar tarahat se khof zada hain or sheher mai qanoon nam ki koi cheez nahi ha. Sheher ki galion, bazaron or sarkon per insane numa darindon ka raj ha jo masoomo ki khoon kay piyasey hain, jinhain insane khehna insaniat ki toheen ha khas tor per in logon kay lie jo insane ko mout kay ghat utar dety hain.


Target killing Karachi ka sabse khofnak masla ban chuki ha. Akhir jo yeh sab kuch horaha ha wo siyasi tanzeemo mai tanazon ki waja sey horaha ha ya phir zati dusmani ki waja se??? hamari mojuda hukumat bhi in sab waqiat kay khilaf koi action nahi lerahi akhir yeh kab tak hota rahega??? Kia koi aisi agency ya koi aisa leader nahi jo in sab kay khilaf awaz utha sakeyy???

Chand barson mai honey wali begunah amwat ko target killing ka nam dia jaraha ha in sab waqiat ka nam kuch bhi ho nuqsan to Karachi kai shehrion ka hi horaha haina… ai din target killing ki waja se amm insane bahar nikalty hue bhi darta ha kay kahin yeh subha uski zindagi ki akhri subha na ho…


Target killing ki waja ai din karobari sargarmian bhi ziada tar motal hi rehti hain or jo becharey roz kay kamaney waley mazdoor hain inhian kai din tak apni rozi se mehroom hona parta ha.… Iske sath sath talemi zindagi pe bhi kafi asar parta ha aksar school college mai chute hoti ha kabhi hartal kay bais to kabhi in ke khilaf muzahiron kay badolat.
Badqeesmati se Pakistan kay roshnion kay sheher mai aj bhi target killing zor o shor  se jari ha q kay yahan 3 bari parties PPP, MQM, ANP hukumat karhi ha or yeh Karachi kay 80% logon ki numaindgi karhi hain.


Karachi mai la tadat log target killing ka nishana ban chukey hain or har party dusrey pe ilzam laganey ka qaseer ha…yahan qatal o gharat sirf zaban or subeh ki bunyad per horahey hain aksar or beshtar becharey lawaris or lachar ghareeb log marey jaty hain or har party inko apna karkoon bana kar shaheedon ki tadad barha barha kay batai ha.



Badqeesmati se Pakistan kay roshnion kay sheher mai aj bhi target killing zor o shor  se jari ha q kay yahan 3 bari parties PPP, MQM, ANP hukumat karhi ha or yeh Karachi kay 80% logon ki numaindgi karhi hain.


Ek siyasi leader ya karqoon target killing ka nishana banaya jata ha lekin iske bad sheher quaid kay jo halat hojaty hain wo qabeel e zikar nahi…inki mout kay bad bila waja masoom logon ko nishana banaya jata ha, firring ki jati ha, bus riksaw or patharon kay elawa degar amlak ko aag lagae jati ha , bina parwa kiey baghair kay iske bad kiya hoga hamari mulk ki maishat pay kia asar hoga???

Karachi sheher ka aaman mulk ki taraqi or khushali se wabasta ha is liye sab jamaton kay darmian itehad se hi sheher ko tabahi se roka jasakta ha agar aisa ho kay PPP MQM ANP kay darmian target killing kay kahtmai kay lie itefaq hojaey to sheher Karachi ki roshinian bar qarar rahainge or ek aam insane apni zindagi sukun se asar kar sakeyga, or in sab kay sath sath hamari hukumat ko bhi chahyekay target killingkay khilaf bharpoor action ley ao hamarey watanko in sab se pak karney mai jald az jald amli iqdamat karain……


Long live Pakistan

7 comments:

  1. bilkul sahi....najaney kb hamarey hukmuranon k samjh mai aegi bat

    ReplyDelete
  2. really yar.. baher nikalty hoi b dar lagta hai kabhe humara city rooshnu ka shehar khehlata tha

    ReplyDelete
  3. han najaney kis gali mai zindagi ki sham hojae....kch pata nae

    ReplyDelete
  4. www.facebook.com/subkakarachi

    ReplyDelete
  5. www.facebook.com/subkakarachi

    ReplyDelete