Target
Killing!!!
Jahan thi rasam aman o ashti ki
Wahan ab sirf bandooq agae ha
Nahi yeh kam insane kay bus ka
Koi na dedah makhlooq agae ha

Target killing Karachi ka sabse khofnak masla ban chuki ha. Akhir jo
yeh sab kuch horaha ha wo siyasi tanzeemo mai tanazon ki waja sey horaha ha ya
phir zati dusmani ki waja se??? hamari mojuda hukumat bhi in sab waqiat kay
khilaf koi action nahi lerahi akhir yeh kab tak hota rahega??? Kia koi aisi
agency ya koi aisa leader nahi jo in sab kay khilaf awaz utha sakeyy???
Target killing ki waja ai din karobari sargarmian bhi ziada tar motal
hi rehti hain or jo becharey roz kay kamaney waley mazdoor hain inhian kai din
tak apni rozi se mehroom hona parta ha.… Iske sath sath talemi zindagi pe bhi
kafi asar parta ha aksar school college mai chute hoti ha kabhi hartal kay bais
to kabhi in ke khilaf muzahiron kay badolat.

Karachi mai la tadat log target killing ka nishana ban chukey hain or har party dusrey pe ilzam laganey ka qaseer ha…yahan qatal o gharat sirf zaban or subeh ki bunyad per horahey hain aksar or beshtar becharey lawaris or lachar ghareeb log marey jaty hain or har party inko apna karkoon bana kar shaheedon ki tadad barha barha kay batai ha.

Badqeesmati se Pakistan kay roshnion kay sheher mai aj bhi target
killing zor o shor se jari ha q kay yahan 3 bari parties PPP, MQM, ANP
hukumat karhi ha or yeh Karachi kay 80% logon ki numaindgi karhi hain.

Ek siyasi
leader ya karqoon target killing ka nishana banaya jata ha lekin iske bad
sheher quaid kay jo halat hojaty hain wo qabeel e zikar nahi…inki mout kay bad
bila waja masoom logon ko nishana banaya jata ha, firring ki jati ha, bus
riksaw or patharon kay elawa degar amlak ko aag lagae jati ha , bina parwa kiey
baghair kay iske bad kiya hoga hamari mulk ki maishat pay kia asar hoga???

Long live Pakistan
bilkul sahi....najaney kb hamarey hukmuranon k samjh mai aegi bat
ReplyDeletereally yar.. baher nikalty hoi b dar lagta hai kabhe humara city rooshnu ka shehar khehlata tha
ReplyDeletehan najaney kis gali mai zindagi ki sham hojae....kch pata nae
ReplyDeletevery nice........
ReplyDeleteacha likha h
ReplyDeletewww.facebook.com/subkakarachi
ReplyDeletewww.facebook.com/subkakarachi
ReplyDelete