Aaj hamaray mulk ki nojawan nasal ko
bayshumar masail ka samna hai jis ki waja sy un k liay mustaqbil pr bht bura
asar prta hai in masaiail bayrozgari,rishwat,sifarish,mehangi taleem or hamaray
mulk main pheli hui nainsafi hai.aaj taqreebun hr banda pareshan nazar aata hai
ma nay kud kitay logo ko dekha ha jo k aala taleem honay k bawajood nokri k
liay ki thokarain kha rahay hotay hain koi shaks taleem pr apnay 15 ya16
baras kurch karay or sath main aik bhari raqam bhi or phr bhi osay yahan dhang ki nokri nahi milti aakhir hamara
kia mustaqbil hai?????ye sawal hai un tamam Pakistani nojawano ka jin k maa bap sakht mehnat or mushkilat ka
samna kr k apnay bachun ko doctorate or engineering ki aala degree dilwatay
hain ta k unki aankhon main sajaay kwab poray hosakain unki ummedain rangla sakain mgr nateja siwaye
mayosi k kuch nahi mlta qk idhhr hamay mulk main unko 10 ya 15 hazar ki nokri
mlti hai wo bhi bari mushkil sy aksar to aisa hota hai k apni field ki nokri hi
nhi mlti .hamaray mulk main taweel arsay sy rishwat or sifarish ki bunayad pr
mulazmatain di jati hain jis ki waja sy aala taleemyafta or qabil nojawan
shaded mushkilat ka shikar hainis k ilawa hr saal aala taleem hasil kr k farig
honay walay sarefehrist dus pundra fesad aali
dimag bayronay mulk chalay jatay hain q k in nojawano k mutabiq taweel
arsay say Amrica ,Canada or Australia
hamaray engineers,doctors,aala mayar k technicians,nursing staff,charted
accountants wagera k liay purkashish
paishkushain kr rahay hain jis ki wja sy hamaray behtareen dimag
musalsal wahan ja rahay hain q k in main say zada tr ko yahan na sirf mustaqbil
tabnak nazar nahi aata bul k jan-o- maal ki hifazat bhi aik masla bani rhti hai.aaj
mehangayi itni barh gayi hai k private taleemi idaro main dilana hur aik k bus
ki bat nahi or sarkari schools main bachoon ka mustaqbil sanwara nahi bul
kbarbad kia jar aha hai-qabil or ahal afrad dur ba dur ki thokarain khatay
phirtay hain or naahal log rishwat or sifarish ki bina pr aala ohdun pur faiz
ho jatay hain.aaj hamaray mulk main nojawano k liye masail hi masail hain hur
nojawan k behtar mustaqbil k liye taleem bht aham hai lekin hamara taleemi
mayar roz baroz zawal ka shikar ho raha hai.roz roz hartaloon or hangamo ki
waja sy talba ko bht mushkil paish aati hai or rahi sahi kasar loadshading pori
kr deti hai imtihano k dino main agr lite chali jaye to bht mushkil hoti hai is
k ilawa talba k liye munasib transport ka intizam bhi ni hai . talba ko school
collage or university buses main latak latak k jana prta hai.
bht hi acha likha h Madiha n waqai in tamam masail ka hamari nojawan nasal ko samna karna parta h
ReplyDelete