Tuesday, 17 April 2012

IMPOARTANCE OF SleePiNG:-)


Khate hai ke ishq mein neend ur jaati hai,
kehte hai ke ishq mein neend ur jaati hai,
koi humse bhi ishq kare,
kambakht neend bohot aati hai...
 Aaj kal ki bhaagti doorti zindagi ka sab say ehem masla nend ka na ana hai har shakhs apni nend mukammal na hony ki waja say paryshan rehta hai jiski ek waja mobile bhee ban chukka hai ladki ladkay raat raat bahar night packages ka faida uthati hai or din mai soty hain or  jisay inki seehat par bhee  bura asar parhta hai aksar loog es baat ko mamooli andaaz mai laity hain or yahe sa inki zindagi mai kharabian hona shuru hojati hai dunya kay har psychologist ka kahna hai kay atleast 8 hours ki neend har insaan kay lie buhut zaroori hai esay kam neend lainy walay insaan kundzehan,sust or chirchiray hojaty hain or achi or puri neend behtreen  zeehni or jismaani seehat ki nishani hai  lakin aj kal deekha jarahai hai kay zada tar gharu mai late soya jata hai khana bhe buhut dair sa khaya jata hai jo buhut galat hai or seehat kay lie bhe buhut nuksaan da hai . 
Aj kal kay bachay snacks, cold drink ,jesi cheezai zada khana pasand karty hai or esi waja sa aj kal kay bachu mai motapai ki shikayat aam hain kaha jata hai kay jo loog zada dair tak jagty hai wo motapai ka jaldi shikaar hoty hai kune kay jab khanay or soonay ka darmiyan kam space hoga tu insaan ka metabolic system kaharab hojata hai  insaan sust hojata hai or eski waja sa weight barh jata hai neend ki kami ki kami say human immune system bhee kaharab hota hai jo humai different health diseases sa fight karnay mai help karta hai. Insaan ka jism nhe ek machine ki tarhan hai esay bhe kam kay baad aram ki zarurat hoti hai insaan ka zehan bhee us waqt kam karta hai jab bharpoor nend lai. 
Or eskay lie zaroori hai waqt pa soya jaie. Humari society mai khas toor pa Karachi mai dair sa soonay ko fashion banalia gaya hai  buhut hi kam ghar esay hongy jo time pa sojat hai or subha jaldi uthtai hai aj sa ap nhe apni life change karaie raatu ko jaldi soiee subha jaldi uthiae or pabandie wagt kay saath namaz parhie…… SHUKRIA

4 comments:

  1. nice.. waise Saila ni8 pkgs ka zikar zrur hota h her blog m aham aham ;) bht naraz lagti ho ni8 pkgs walon se :D

    ReplyDelete
  2. n tumhari ye aadat to mujhe waqai bht achi lagti h jo tum 10bjy sojati ho hahahahahaaha

    ReplyDelete