Baap ek aesi hnsti hai jo apko ehsas dilae bagair apni mohabbt ki barish ap pe nichawar krdete hain. Mene suna hai k maa k qadmon taley jannat hai lekn agr ap ne apne baap ko naraz kia to khuda t'ala ko naraz krdia... Betiyan apne waldain mei maa ki nisbt baap se ziada qareeb hoti hain or shayd ye baat blkl thek hai. baap ki shafqat bhari dant kbhi to bht buri lgti hai lekn agar kbi ghaur kia jae to pta chlta hai k wo js baat k lye hume dant te hain us mei unka nahi blke hmara hi faida hota hai. Ye wo bhtareen insan hai jo apni aulaad k agey apni hr khwahsh ko bhool jate hain wo srf apne bachon ko ala taleem hassil krwane k lye kbi kbi apni ghr apni family yahan tk k apna mulk chor kr jate hain ta k wo ache se acha kmaen or apne bachon ki har khawsh pure kren un ko achi taleem dilaen or unko ek roshan mustaqbil de saken...
Mene kuch aese log dkhen hain jo apne walid ko burhape mei old home mei dakhil krdete hain qk unlogon k pas apne walid ka khiyal rkhne k lye wqt nai hota.Wo pathr dil insan aesa kese bhool jate hain k jb wo khd sahare k laiq nhi the to unke baap ne apni ungli pakra k unhe chlna skhaya,jb wo tawaja k muntazir the to un k baap ne unhe apni tawaja ka mrkaz bnaya. mene kahin prha hai k
"EK BAAP MIL K 7 BETON KI PRWARISH KRSKTA HAI LEKIN 7 BETE MIL K EK BAAP KO NAHI PAAL SKTE"
kitni theek baat hai na. Wo auladen kesi hoti hai jo apne baap k burhape mei unka sahra nai bn skti unka khiyal nai rkhskti kia un k pass zameer nai hota... Mei khud b bohat achi beti nai hun lekn mje lgta hai jese mere abu is duniya k sbse ache abu hain or mera khiyal hai k bohat se logon ka khiyal b mjse mlta hoa hi hoga. walid ek mukaml shksiyt k hamil hote hain or shyad meri pasndeda shksiyt mere abu hain. Or mei un logon jnko apne baap ki qdr nai hai ye paigham dena chahti hun k KHUDA ne un logon ko boht bari naimat se nawaza hai or is naimt se jaan churana apne paun pe kulhari marne k brabr hai or agr meri baat ka b un pr asar nai to wo un logon se zarur milen jo is naimt se mhroom hain.Mei sbse khti hun k is naimat ki qadr kren,unka khiyal rkhen or unka sahara banen qk
"maa baap k dil se nkli hoi ahhh arsh tk jati hai"
nice :)
ReplyDeletemaa k qadmo taaley jannat or us jannt ki kuji baap ki khidmat kr k hasil ki ja skti ha...
ReplyDelete:) bilkul thek bat ki ha tm ny
han iknw tbi to lkha hai. maa ko highlyt to sb hi krte hain na
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
DeleteThis comment has been removed by the author.
DeleteVery nice
DeleteFor all of them who loved and care parents
Very nice
DeleteFor all of them who loved and care parents
Very nice
DeleteFor all of them who loved and care parents
very nice mai b apny papa sa zada attach ho:-)
ReplyDeleteKeep it up Dua.
ReplyDeletethanks ma'am
Deletevery nice.
ReplyDelete