14 January ko es jahanfani sa rukhsat
hony jany wali Arfa karim agarcha zindagi
ki 16 baharai hi dekhsai. Arfa nay dunya ki kam umar Taren certified professional
ka aizaz hasil karky computer ki dunya mai theehalka macha dia or abhe najany
kitny eaasy khuawb thy jinki esay tabeer pana thi kitni tasweeru mai haseen
dilkash rang bharnay thy . Arfa sa naa sirf Pakistan balky dunya bhar kay IT
mahereen ko bari umeedai wabasta thi Arfa puri qoum ki beti thi. Arfa na apni mukhtasiir si zindagi mai apni manzalain
taae karli thi ka lagta tha ka is bachi ka lie waqt kam hai or muqabaala sakht.
Eski kameyabi
par farm ka bani Bill gates na
esay America madu kia jahan esay Microsoft kay headquater ka doora karwaya gaya
Bill gates na esay dus mint tak mulakat ki jo kud magribi media ka lie
heartangeez baat thi. Pakistan wapsi par usay sadarti tamgy sa b nawaza gaya or
es waqt kay sadar PERVAIZ MUSHARAF
na Arfa sa mulakat ki or ya award hasil karny wali Pakistan ki sab sa kam umer
larki thi. ARFA ki zindagi ka dia es tarhan bhuj jaiega ya kabhi kisi na nhi
soocha tha humari badkismati hai kay Pakistan ka ya roshan sitaara hum sa toot
kar bikhar gaya ARFA ki death Pakistan ka lie ek bht bara loss hai ya bachi
humara mustabil thi par shayad ALLAH ko kch or hi manzoor tha taham es dunya
khusuosan Pakistan mai es phool ko hamesha yaad rakha jaiega jo bin kheelay hi
murjha gaya. ARFA ab es dunya main hi hai magar es bachi naa bohut si ummedai
chor di hain bohut sa khuawb peechy chor diey hai jinhai humai pura karna hai
apny watan ka lie kuch karna hai nai nasal un batao pa amal kary or mulk o quam
ka nam roshana karai Arfa Lahore ka azem ul shan IT park ARFA
KARIM PARK or Pakistan kay dusary IT centers ( jo es bachi ka nam
sa mansoob kardie gai hai ki mulk mai hazaroon IT talba o talbaat ka roshan
mustaqbil ka lie muheeez sabit hogi or
wo apni hoosla bakhash muskuarahatu kay saath humesha yad dilati rahi gi ka es
kay kuawwb adhooray rah gai hai ,jo tasweerai
mukamal nhi hoi saki inki tabeer pana hai or unky rang ab Pakistani
nojawanu ki zimadari hai Arfa karim Pakistan ka ek keemti sarmaya thi itni kam
umer mai es bachi nay jo karnama anjaam dia wo rehti dunya tak yaad rakha
jaiega, dunya mutaqbil kay ek bary Microsoft expert sa mahroom hochuki hai…….
andar bhee zameen ki roshni ho…..
mati mai cheeragh rakh dia hai….
Nice post but difficult Words....
ReplyDeleteimprove your reading
Deletehmmm okay miss
ReplyDeletenyc effort ...
ReplyDeleteor sentence sahe kro certified professional nhe microsoft certified professional :P
good....
ReplyDeleteyeah its awesome job. I din't believe when i heard of it i was shocked but this is what we really are:
ReplyDeleteThanks for this knowledge-rich article.
Great Work!
Keep it up!
Visit: https://www.surreyhome4sale.com