Mai aksar logon ko ye kehta sunti hn k “kya mousiqi ka shoque
rkha howa ha ye to kafiron k shoque hein….” “Kya bhala shoque ka bhee kbhi koi
deen iman hota ha...???” ya phir “gana bajana to mirasiyon ka kaam ha, q is ko sekhny k
pechey wqat or paisa zaya kr rhy ho…!!!” “Q hum ny isko ek khas tabqey se
munsaliq kr rkha ha…???”
Music (mousiqi) 7 suron ko jb ek khas ley mai proya jata ha to us
se nikal ny wali madhur awaz mousiqi kehlati ha. Mousiqi sirf ek hunar, fun ya pesha
hi nhe ha. Balkey ek bharpur ilm ha. Jo k tafreeh farham krny ka bhee ek zarya
ha. Js per be-shumar researches ki gaen hen jen se ye sabit howa ha k mousiqi
sehat per mabat asrat dalti ha… koi is ka dusra pehlu q nahe dkhta…???
Is ko kisi ek tabqey tak mehdud kr dyna na ya is ko haram keh dyna
sirf mousiqi k sath hi nahi balkey is se jorey hazaro afrad k sath na-insafi ha
jo is ko sunty hen, is ka shoq rhkty hen, ya is se istefada hasil krty hen.
Barsat ki rim jihm, quil ki koko, aab-sharon k behty pani mai
bajti jal tarang, phol podon ki kehlti sarsaraht, bijli ka karakna, badlon ki
garaj, dil ki dharkan…. In sb asrat se to koi inkar nahi kr skta to phir sazon
se nikal ny wali awaz k itny khilaf q hen… mere nazdik to ye sirf haqiqat se
farar hasil krny k siwa kuch nahi…
Moulana Alim Uddin ny kya kub baat kahei ha k “jo log mousiqi
dil se sunty hein, in k lye halal ha
aur jo nafs se sunty hein in k lye haram
ha.”
Ab faisla hum pe ha k hum ksi bhee chez ka kis trha istemal krty
hein. Agar sahe istemal kia to chez achi or galt istemal kia to chez galt…
dar-asl chez khud sahe ya galt nahe hoti us ka istemal us ko galt ya sahe
banata ha.
haan ye to hai ksicheez ko hm khd acha ya bura bnate hain.
ReplyDeletewah g wah!
ReplyDeletethx asma :)
ReplyDeleteyaar im sorry but i dnt agree with u aur jo quotation tmne moulana ki code ki hai uski authenticity mein bhi doubt hai. Hazrat Mohammad (S.A.W)ki ek hadeea ka mafhoom hai k "mujhe mousiqi k aalat ko torne k lye bheja gaya hai" hr wo chez jis se nasha tari ho wo Islam mein haram hai aur mosiqi aesi chez hai js se ap pe nasha khumar suroor sa taari hojata hai.Is lye ek chez buri hai tu atleast usko bura tu samjho kyun k ye emaan ki akhri alamat hai.
ReplyDeletenyc wajiha dear !!
ReplyDeletehmm i agree dat mosiqi is considered not gud in islam... but once a girl was playing DAFLI to ussay roka gaya k dafli na baja mager is per Hazrat Muhammad S.A.W. ne farmaya " k khushi ka moqa hai na roko is larki ko bajanay do" that did mean Islam is not so strict as we have made it.
Nicely written.
ReplyDelete