Thursday 16 February 2012


                     URDU ZUBAN KI NA QADRI
Urdu kehne ko tou hamare qaumi zaban hai magar afsosnak baat ye hai ke aaj urdu jis kadar na kadri ka shikar hai us par dil khoon ke aansu rota hai. Media jo ke  aik aisa zarya hai jis ke zariye hum logon ki soch ko musbat ya manfi kisi bhe tarz par dhal sakte hain magar media he hai jo GULABI  URDU” ki tarveej mai ziada eham kirdar adda kar raha hai. Programon mai maizbaan ajeeb-o-gareeb kisam ki urdu ka istamal kar rahe hote hain, aise urdu jo urdu aur angrezi ka ameza hote hai balke ye kehna ziada munasib hoga ke un ki guftagu mai urdu sirf iss had tak nazar aate  hai jitna hamare ishteharat ke darmiyan drama.
Iss ke ilawa awami satah per jo urdu bole jate hai us mai bhe hindi or angrezi alfaz kasret se istamal kea jate hain. Aaj ki hamare nojawan nasal “ABBEY”  “TABBEY”   “HATT GAE”   “TAP GAE”   “PONKA”   “KADDU” aur isse kisam ke latadad bemaine aur behoda alfaz ka istamal fakhria karti nazar aate hai aur afsosnak baat ye hai ke koi un ko tokta bhe nhe  hai. Agar koi achi urdu bolne ka shoq rakhta ho ya khalis urdu mai aik line bhe bol dy tou usko aise ajnabi nighon se daikha jata hai jaise wo” KHALAI  ZUBAN” bol raha ho aur us ka mazak uraya jata hai ke iss mai purane zamane ki rooh hai jab ke angrezi ki milawat wale urdu bolne walon ko bht ehtaram ki nazar se daikha jata hai.
Mera sawal ye hai ke kya ye alfaz hamare “URDU  LUGHAT” m kahen mojood hain? Agar nhe tou phir kya hum apne zuban ke saath insaaf kar rahe hain??? Aakhir urdu zuban ke saath ye sotela salook kab tak jari rahe ga???

10 comments:

  1. xactly urdu zuban ka rivaj ab khtam hota jarha hai but good one

    ReplyDelete
  2. Urdu zuban hamara RIVAJ nahi h Asma yehi to hamara almiya h!!! urdu hmari qomi zuban h koi rivaj nahi

    ReplyDelete
  3. Insaani fitrat hy k jo kuch usko aasani se mil jae uski nakadri kerta hy. yehe haal is mulk ki AAJ KAL KI NASAL ka bhi hy. Jb mulk ko chod chaadh dusre mulk jaaker apni zindagi guzaarna chate hyn to usi rang myn rang jana bhi chahte hyn, apni jadon se kat ker kbhi koi darakht nhi khada rh paya yehe haal is quom ka bhi hy jo is mulk ki nakadri ka sabab bhi ban raha hy. Hamari zabaan duniya myn humari pehchaan ka sabab bnti hy mager humari BADNASEEBI hy k hum khud he ko nhi pehchaan pa rhy or apni he zabaan ki nafi kerte ja rhy hyn.

    ReplyDelete
  4. Who is Fari khan? Apna real name likhiye please. =)

    ReplyDelete
  5. bhui urdu hamari qaumi zuban hai what i am saying jus focus on it i mean to say urdu hmari qaumi xuban hai lekin bolne ka rivaj khtm or eng bolne ka rivaj aam horha ha

    ReplyDelete
  6. Mam dis is me Farhana Niazi :p

    ReplyDelete