Thursday 16 February 2012

"ANDHI TAQLEED"



Andhi Taqleed humaray muashray main ek waba ki shakal ikhtiyar ker chuki hai. Log Namud-o-Numaishk chakkar main apnay Iqdar ko faramosh ker chukay hain. Fashion ki daur main sabqat hasil kernay k liey aur "Brands" k shauq main log paisay ka be-dareegh istmaal kertay hain. Brands k is junoon ne na-sirf ameer tabqay ko muta'sir kiya hai, balkay ab yeh beemari humaray matawast tabqay ki jaron main bhi sara'iyat kerti chali ja rahi hai aur log mehaz ana parasti ki khatir or logon ko apni taraf raghib kernay k liye Branded cheezain kharidtay hain aur phir logon main beth kar fakhriya batatay hain k hum ne falan brand k kapray, falan brand ka bag, ya falan brand ka chashma pehn rakha hai.

Matawast tabqay k log istita'at na rakhnay k bawajood bhi apnay bachon ko aisi branded cheezain le kar denay per majboor hain. kyun k agar woh aisa na karein to un k bachon ko apne doston main izzat ghat-ti mehsoos hogi. Jab k brand k label k ilawah bhi us he tarah ki cheezain kum qeemat main dukanon main dastiyaab hoti hain. Magar humari qaum ka almiya ye hain woh bina sochay samjhay "Naqali" ki raah per gaamzan ho jati hai. Agar woh Branded cheezon per paisay zaya kertay waqt mehaz chund lamhon k liye he un gharib afraad ka soch lein jin ko ek waqt ki roti bhi mushkil se mayassar hoti hai to shayad woh kabhi bhi is tarah paison ka ziya na karein. Aisi qaum per kisi had tak ye misaal sadiq ati hai k:

"Kawwa Chala Hans Ki Chaal Or Apni Chaal Bhi Bhool Gaya"

9 comments:

  1. v.true.. Brands ka junoon ho gaya aaj kal sub ko

    ReplyDelete
  2. zberdst!
    follow marshcommunicators.blogspot.com

    ReplyDelete
    Replies
    1. tm ko follow kia howa ha... dn't wrry yr... ab tm bhee hm ko follow kr lo...

      Delete
  3. Namood.o.numaish k chakkar myn hum ne apne liye khud he mushkilaat paida kerli hyn .... bjaye is k saadgi ko apnaien aur miyana ravi ikhtiaar kryn. Is dodh myn hum itne aagay nikal gaye hyn k hum ne in cheezon ko ZAROORIAT samajh liya hy, jb k zindagi ki bunyaadi zarooriat to mehiz Chatt, Libaas, Aur Roti hy. Mager is taklled myn mutawasat aur ghareeb tabka ehsase mahroomi ki daldal myn b khud ko tasavur kerne lagta hy.
    Ye blog is maslay ko numayan kerne ki aik bohat achi kaavish hy, is nuktay ko print aur electronic media per zer.e.behis laya jana chahiye takay awam ki rahnumai ka zareea ban sakay.

    ReplyDelete
  4. Thanx 4 ur appreciation Mam n Lucy Gray

    ReplyDelete