Pakistan khne ko ek taraqi pazeer mulk hai lkn taraqi kahan horai hai
dkhai nai deta. yahan k hr shehr ki tqrwebn hr mushkl ek jesi hai.
Karachi khne ko yun toroshniyon ka shehr kaha jata hai lkn bijli kb
ati hai kb jati hai or kahan pai jati hai is ka ilm ksi ko nai.Yahan ki abadi
mardm shumari k lihaz se 2 corore tk pohnch gae hai lkn masail
mei kmi ane k bjae msail brhte hi ja rahe hain or in ki rok tham
k lye kch intizamat hote nazr nai arahe. Karachi hr qsm k bohran
se do char hai yahan k hadsat mei itna izafa hogaya hai k log ab
un hadsat k adi hogae hain k ab hm logon k lye agr 100 afrad mrjaen
to koi bari baat nai. Yahan bohran srf bjli ka,pani ka,gas ka hi nai
blke ache insanon ka b bohran hai yahan ka doc logon ki zndagiyan
bachane se ziada pese bnane pe iman rkhta hai. Ek engineer jb koi
ghr ya buildng tameer krta haito us ki rqm to puri wasool krta hai
lkn buildng bnate wqt uska material aesa istimal krta hai k wo
buildng kb gr jae bharosa nai. ek bus driver apni bs mei musafir
to bhr leta hai lkn ziada musaffir hnge to ziada kmai hogi is wja
se mussafir ko bs ki seedhi pe khara hona prta hai oor jski wja roz
k road accidnts aam hote ja rahe hain. or hm hr cheez ko govrnmnt ki
nainsafi smj k govrnmnt ko hr baqat k lye zimedar qara dete hain.
Lkn hm b to isi mulk ka hiss hai hain hm knsa apne mulk k sath insaf
kkrahe hain.Agr hum kahin chori hote dkhte hain to hm apni jaan bcha
kr wahan se farar hona ghanemt jante hain na k burai ko dkh k rokne
ki koshsh krte hain. kbi kbi mje lgta hai k Pakistaniyon mei se insaniyt
kahin na kahin khtam hoti ja rahi hai. Pakistan ka msla srf bjli pani
gas hi nai hai or na mhngai yahan ka msla hm sb ka ek fqra hai k ALLAH
jane kia hoga is mulk ka. to ye swal khd se poocihye qk ksi b qoum k halat
bdlne mei sbse bara hath uski awam ka hota hai.
ALLAH TA'ALA SIRF USKI MADA KRTA HAI JO APNI MADAD AP KRTA HAI.
He loves his country best who strives to make it best. ~Robert G. Ingersoll
Good Job...
ReplyDeletezbrdst
ReplyDeletegood
ReplyDelete