AURAT - MUSTAQBIL KI MAMAR
Jab
hum aurat kay barey main sochty hain to hamarey zehen mai kuch tasaveer ubharti
hain kay Pakistan ki quwat, nai dor ki teachers, khandan ki izat,ghar banany
wali rehnuma shamil hain lekin Pakistan main sab khawateen ko is nazar se nae
dekha jata.
Maine
Pakistan kay kai dehat aur shehron main mehsus kia hai kay jin usulon ki Islam
main wazahat ki gae hai wo izat aurton ko hasil nahi aur na hi deen e islam ki
pairwi ki jati ha.
Pakistan
mai asmat dari,taizab phenkne aur karokari jaisey jaraim kay waqiat islam kay
nam par horahey hain aur is kay lie islam ka ghalat istimal kia jaraha ha.
Khawateen k sath wehshiana saluki kia jata hai.aur jab aisi na insafian hoti
hain to qanoon aur aieen ki pairwi bhi nahi ki jati.
Khawateen
bahaisiat mustaqbil ki teachers jin ki taleem o tarbiyat behtreen andaz main
honi chahye thi lekin is ke bajaye in kay school band kardiey jaty hain aur in
ko in kay bunyadi huquq se mehroom rakha jata hai.
Mujhe
khawateen say roshan tawaqaat hain kay wo apne haquq kay hasul kay lie degar
khawateen main bhi shaoor ujagar karain gay.
Ab mazi ko “GOOD BYE” kehne ka waqt agaya ha kiun kay hamain any wali naslon kay mustaqbil ko roshan banana hai kiun kay ba ikhtiar aurat hi mazboot Pakistan ki tamer kar sakti hai.
Ab mazi ko “GOOD BYE” kehne ka waqt agaya ha kiun kay hamain any wali naslon kay mustaqbil ko roshan banana hai kiun kay ba ikhtiar aurat hi mazboot Pakistan ki tamer kar sakti hai.
Ahan ! Do you really think so ? Any ways... Well written but do not use "titles" from any political campaign.
ReplyDeleteyup....ohk ma'am
ReplyDeletegood job.... :)
ReplyDeleteRight actually agr ak aurat parhi likhi ho tu kaha jata hy pura gharana parha likha banane ki koshish krti hy nice write up
ReplyDeleteAurat ko itna mazloom kyun tasawwur kerte hain sub???
ReplyDeleteI don't understand this... :/
Ayesha hamare gaon dehaton m aurat waqaitan mazloom hi h ab tak! n aj bhi usko wo maqam hasil nhi jo shehron m aurat ko hasil h wo aj b khudmukhtar nahi h anyhow nice effort Rubab keep it up :)
ReplyDeletegood......
ReplyDelete