Humari
society mai ladkiyon kay lie rishto ki talaash ek bara masla ban chukka hai. Achay aur munasib rishton ki talaash aaj kal
her ghar ka masla hai.. aur actually yeh
masla hamara khud ka banaya huwa hai. Ladkiyon ki barhti umer parents kay lie pareyshani
ka masla ban jati hai. Lihaza rishto ki talaash ka masla ek khatarnak surat ikhtiyar
karta jaraha hai, jin gharun mai zada ladkiyan hoti hai tu maa baap paryshan
hokar kam parhy likhy ladku ko kabil.e.kabool kar laiti hain lekin meray
nazdeek aj kal parhy likhy loog un mai larkay walay hon ya larki walay.. sirf
zahiri shakal soorat, taleem aur achi job/business ko deikhty hain jo shadi honay tak to theek lagta hai lekin shadi ka baad ek bara masla banjata hai
aaj kal aik acha insan koi nahi deikhta, baray baray status aur bari bari
degrees to deikhein gay lekin larkay ya larki may aik acha insan bhi hai ya
nahi.. yeh her giz nahi deikhein gay.
her waldein ki yehi
khawiash aur fiker hoti hai kay wo apni beeti ko mehfooz haathoun main hii
daein, kissi bhi aye'gii bandey ko nahi, ager beeti kay waldein kay ekhtiyar
main hota tou khud apni beeti ka nasib aachey sey aacha likhtey , ghar jahiz,
ya taleem ya jo meyar ko lay kar ghar banai jaty hai wo kabi nahin basa karty , Dunyia ka sub say
mushkil kam rishtey nibhana hai kiuyn key yeh nibhtey nahi in ko nibhaya jata
hai, jis beeti ki rukhsati hoti hai uss pal uss ghar ek naii beeti ka janam
hota hai wo ghar jo sussral kehlata hai, aur us ka taluq kissi ek ferd/member
ya sirf shohar sey nahin hota usay say
jurrey her rishtey say hota hai, issi trha larka hai ager jab wo un rishtoun ko
ehtaraam aur izzat dey ga , tou larki kiun nahi dey gii, jahan zehnii hum
ahengii na ho, sochoun diloun main fark hou wahan waqti nazdikiyaan hoti hein,un
rishto ko pher sirf majboori kay tehat nibhaya jata hai.
Add caption |
Shadi zindagi ka ek bhut
eham or important faisla ho hota hai ya gurya gudy ka khail nhi hota esiliey jahan munasib rishty milai
waldein ko bhe chahyie kay wo takheer naa karein beeti ko rukhsat kerny waley
banein, itna kamata ho keh us ki zarorayaat poori ker saky, uss key rishtoun ko
ehtaraam day sakai , uskay naseeb mai
jitna hoga tou Allah Tala usay zaroor nawaz dein ga, larki kisi bhi roop main
ho maa, behen, beeti, bus itna sha'oor ho keh apna ehtaraam kerwana aur kerna
jaanti ho ...
nice thought
ReplyDeletegood
ReplyDeleteAhan... nice work. Alot of improvement needed. likhti raho , different blogs se inspiration leti raho. You'll get to know. inshaAllah.
ReplyDelete