Internet nay zar e
iblag ke dunya man iak ingilab barpa kar diya hay dunya man logon k darmyan
faslay mita dyia han .internet muqtalif nizamon say marbot karnay wala aik
mawaslate nizam he nahe balk is k zarye apny afkar o khyalat ke nashro ashat aalmi
pemany parke ja sakti hay.
Pakistan man internet sarfeen ke
tadaat 2 karor say zaid hay.internet aaj k dork e sub say aham ijaad hay.jis
nay dunya man inqalab barpa kar diya hay or dunya k muqtalif hisson man rehnay
waloon k darmian faslay bohat kum kar diya hy or is nay kum waqat man bohat he
zayada maqboliat hasil kar le hay.lakin bohat say logon ke nazar man ey aik
burai ke jar hay jo dunya man buray kamon ko farogh day rahe hay.bohat se asi
chezayn hay jin ka istemal in ko bura bana dayta hay jisay koora kagaz ba zaat
e khud kuch nahe hota wo to is par likhi gaye tehreer is ke pechan banti hay.
Internet aik aaysi ejaat hay jis man
musbat or manfi dono pehlu pay jatay hayn.bagor daykha jay to internet
mufeed ejaad hay is ke badoolat taalemey,tijaarti or muasharte maydaan man aik
inqlab aa gaya hay.
Internet nay insane zindagi man
bohat be aasanyan payda kar de hayn koie bhe shubaa ho insane kisi bhe ilaaqay
man rehaish pazeer ho usay apnayshobay ya mashaghil k baray man maloomaat hasil
ho sakti hayn.internet ke madad say dunya ke bari bari marketoon say barah e
raast kharedari ho sakti hay.
Intenet aik million sya zayada k
networks ka aik globel web hay jis man 50 million say zayada computers kaam kar
rahay hayn or pori dunya sa taqreeban 200 million log shamil hayn or is taadad
man rroz ba rooz izafa ho raha hay ey information exchange ka tayz or iham
tareen zarya hay.internet k zarye aaj kal bohat say aysy kaam keiy jaa rahy
hayn jin ka pehlay tasawar bhe nahe keya ja sakta tha.
Jis tarha say dunya man mawaslati
nizam e taaleem ko uroj hasil hoya tha or bay shumar log is say mustafeed hoye
thay bilkul isi tarha aaj kal dunya ke bohat se universiteyan bhe online taleem
day rahi hayn.jis ke badolat ilam k parwanay apni payas bhuja rahay hay.or
internet par bohat se websites aysi bhe hayn jin ke badoolat har koie apni mun
pasand nokri hasil kar sakta hay baat sirf in websites par ja kar online applay
karna hota hay.Mojuoda dor science ka dor hay in ke taraqi ka sara daromadar
sciency taleem he ke badoolat hay.internet sciecncy taleem ka bohat bara
zarya hay.
Internet adbee zooq ke taskeen ka
bhe bara zarya hay is par bay shumar elmi or adbee maqalajat or kitabayn
dasteyaab hoti hayn.
Internet par muqtalif saqafati
program bhe paysh keya jatay hay in saqafati programon man
taqrerayn,muzakray,mubahesay,zehni aazmaish k program interviews or musharay
shamil hay is k ilawa Pakistan k muktalif ilaaqoon ke saqafat k baaray man
dastawayzee program bhe nashar keyia jatay hayn goyaa saqafat ke tarweej o
ishaat man internet nihayat iham kirdar adaa kar raha hay.
Internet k hamaray muashray par jo asraat ho rahay hayn or ho
saktay hay wo bunyadi toor par teen qisim k hayn.awal kuch tabdelyan hay jo
rooz marrah zindagi man ronuma ho rahi hayn.in ke koie mazhabi,iqlaaqe or
tahzeebe ahmiat nahe hay.taham inhayn is aytebaar say musbat qaqar deya ja
sakta hay k hey zindagi ko tayz o asaan bana rahe hayn.doam wo masbat imkanat
hayn jo internet man posheeda hayn jin k zarye allah tala nay humayn aik muqa
diya hay k hum elm o technology man apni kamar ko bobat jalad dor kar k kamyabe
or taraqi ke rahyn apni qoum k leay khol saktay hayn.teesray wo manfi
rujhaanaat hayn jin k tareek saaye hamaray muashray ko apni lapayt man lay
rahay hayn.zayl man hum in tamam asraat ka aik tafseeli jauza paysh kar rahay
hayn ta k loog is muaamlay man baa shaoor hon or apni tarjehaat ko shaoori toor
par mutmain karayn.
Internet dor e jaded man bay hayaie
k faroogh ka sub say asan or masar zarya ban chukka hay ey baat internet k
aghaz k waqat he bari sarahat k sath numaya ho kar samnay aa gaye
the.internet k zarye sex k farogh ke bari wajha ey hay k is man privicey or
saholat ka ansar bohat zayda hay.chunachay koie bhe shaks kisi k ilam man laye
bagayr har tarha k mawad tak ba asani rasai hasil kar sakta hay.khuda khofi say
khali muashroon man jahayn aysi chezoon say log sirf muasharti dabao ke bina
par door rehtay hayn,jub aysi sahoolat mayasayr aa jay to kun ho ga jo is
mehfooz zarya say mustfeed na ho.is ka nateeja ey nikal raha hay k naye nasal
iqlake tor par dewaleya ho rahe hay.
Maghrabi muashray ke kuch rawaat
hayn kuch aqdaar or toor tareeqay hayn kuch maaroof o munkar hayn jo yaqeenan
hum say mukhtalif hayn.internet k zarye ey aqdaar o rawaayaat hamaray muashray
man srayait kar rahe hayn misaal k tor par velentain day,leloen day,mothers or
fathers day waghyra jo kuch khaas ayaam he nahe bal k apnay peechay aik pora
tahzeebe or muashrati pasmanzar leay hoye hay ab hamaray han baa ehtamam manaye
jatay hayn jin k sath aahista aahista in ka pasemanzar bhe apni jaga banata ja
raha hay.larkay or larkeyon ke dosti or is k yoom e tajdeed ya ne velentainday
ka hamari tehzeeb say koie taaluq nahe.
Ise tarha internet tashudut or
jaraim k farogh ka zarya ban raha hay maghrib man in ko cyber crime khetay hayn
.hamaray haan cuber crime ke waba both tayzi say farogh pa rahi hay.in k ilawa
baaz degar manfi aadat maslan joye waghyra ka bhe ey aik bohat muasr zarya ban
gaya hay.
Good working..
ReplyDeletebht acha n informative h gud
ReplyDelete