Daishat gardi aj puri duniya ka masla bana huawa
hai. daishat gardi ki eham wajahot to yeh hain barti hui abadi, mehangai, intiha
pasandi, jahalat, mashray may nainsafi, taleemi ki kami ki waja say bhe daishat
gardi may izzaf horaha hai q k jo log taleem hasil nhe kar saktay wo logo ko
maar kar daishat gardi pehlatay hain..
Humaray government is mamlay may nakam nazar
arahe hai. yehe waja hai k har shobay may kum taleem yafta afrad hukumran ban kar
baithtay hain aur taleem yafta afrad unki gulami kar rahay hain.. log
taleem hasil karne say ziada lot maar karna asan samjhtay hain. unko is baat ka
ehsas nahe horaha k humne ALLAH k pass k agey jawab daina hai. kisi k baap, bhai ko maar kr masom bacho k sir ka saya cheen laitay hain. akhair kab tak lasho pay lashay
nazar ati rahay gai..!!! kab tak hum apny kandhon per istrha lashon pe lashen utha ty rahen gye...!!! ALLAH unlogo k dil may is baat ka ehsas paida karai...
Humaray waliden k dilo may khof baith gaya hai
agr hum kaheen akailay chalay bhe jain to phone pai phone kartay rehtay hain
aur jab tk ghr na ajain wo paraishan he rehtay hain. humaray apne dil mai dar sa beht gaya hai k hum khair say ghr pohanch jain gye ya nahi. aj duniya may ehsas naam ki cheez nahe
reh gai..
Thankx saila..
ReplyDeletenice iqra keep it up.....
ReplyDeletenice
ReplyDelete