Thursday, 12 April 2012

Pakistani weddings



                                    


Pakistani weddings ki tu baat hi niraali hai… ghar walu samait rishtydaar,doost yaar baraber tayariun mai masroof rahty hai. Shadi ek esa haseen rishta hai jiskay gird khandan kay deegar rishty ghoomty hain. Shadi jesy nazuk rishty ko har koi khubsurat or yaadgar banana chahta hai. Doosray mumalik kay loog apni rasumaat or toor tareeku kay mutabik shadi ki taqreeb ka ehtimaam karty hain. Shadi do logo ki zindagi ka buhut ahem tareen hissa hoti hai. Pakistani weddings mai sab sa important nikah, rukhsati or valima hota ha. Lakin shadi kay moqay par har khandan apny apny rivaaj kay mutabik rasamumat karty hai waqt kay saath saath rasamumat kay andaaz badalty rahty hai magar inki ahmiat apni jaga pa hai. Pakistani rasumaat mai khoob halla gulla hota hai buhut si alag alag rasamai hoti hain jin ma sai kuch ya hai jutta chupaai,doodh pilai, ungli pakrai, dhoolki,kheer chaatai etc.. amoomun loog mehndiu kay functions bhe organized karwaty jis mai ladky ladkian khoob naach gana karty hai doonu mukhlif partian ganu or dance kay muqabaly karti hai humarian ki dulhan amooman 5 din ki mayun beethi hain…humnay ab buhut si rasmai hindu ki adopt karli hai jo rasmai humarian nhi hoti thi shadi kii rasamumaat say ab shadiun kay ikhrajaat he barh gai hai jo ek tarhan sa fazool kharchi bhe hai pehly mangni kay baad shadi nikah rukhsati or phr valima tak mahdood thi lakin ab shadian buhut dhoom dham si ki jati hai ek ek hafty pehly say dhoolkian, or hangamy hoty hai logo ki chehel phel rahti hai .Shadi ki rasam o rivaaj ki ahmiyat or saachai apni jaga magar es mai koi shak nhi kay insay shadi kay lamhaat yaadgaar banjaty hain beeshak jorray asmaan par banty hai par rasmai zameen par ada ki jati hain…….



  




2 comments: