Wednesday, 11 April 2012

Pakistani Shadian



Shadi biyah ki taqreeb ko yadgar banaey kay lie har khandan mai hazaron jatan kiye jaty han. Har khandan main yeh bat zarur ki jati ha kay taqreebat aisi honk ay logon ko arse tak yad rahain. Kai khandano mai to muhazib log bhi aise aise fashion apna kar shadi mai shirkat karty hain kay dekhney wala pareshan  hojata ha.

Shadi biyah  kay moqeey per kai aisi cheezain zarur hoti han jin per hamarey kam azkam  50% logon ko aitraz hota ha lekin wo becharey kuch nahi khpaty . wo napasand cheezain kia hain zara ap bhi mulakhta farmaiye…..

Modernism kay dor ne hamarey ikhlaqi iqdar ko tehas nehas kar ke rakh dia ha. Aj kisi mehndi  ya mayon ki taqreeb larkay larkion kay dance kay baghair pheeki mehsoos hoti ha. Tamashai baney chacha ya phupo apni betion kay “SHEELA KI JAWANI” par therakty jism per jab tak talian baja kar dad na dain tab tak mehndi ka rang pheeka rehta ha. Log samjhty hain kay betion kay dance aur andaz ko jab tak sarahana jaey tab tak mehndi ki taqreeb apna rang nahi jamati.

Dulha ya dulhan ki bhari bharkam mumanian, chahiyan, phuphian ya khalain jab tak “KAJRAREY” per akar jhoom na lain tab tak tamashai gum sum baney bethey rehty hain. Jab yeh qareebi rishty dar apne do do man wazani jism kay sath dance karne kay lie samney ati hain to inke bachey or shohar danton taley ungli  dabaye intizar main rehty hain kay kab inko chakar aya aur kab yeh nazreen kay upper ja geerain gi. Aur kch nab hi ho do chaar nojawan larkion ko zakhmi zarur karainge lekin moti moti rishtydar khawateen in hazrat say laparwah apni moj masti main magan rehti hain.

Aj ki nojawan nasal 80 ki dahai kay fashion kay sath jab 80 ki dahai kay maqbool gano per thirakney kay lie maidan main ati hain to nai larkey larkian to daad dety hi hain jabke is door ki auntian naak charhaney main masroof nazar ati hain. Dulha ya dulhan ki mehni ya mayon ki taqreeb hoto mujhe aj tak yeh bat samjh nahi ai kay achey bhaley muhazib aur alla ohdon per faiz afsaran ko najaney kia hojata hain kay wo khawateen aur nai nasal kay haton bewaquf ban jaty han aur kiun peelay ya kisi shokh rang kay dopattay apne galey main jhulaty dekhai detey hain. Akhir mardon kay galey mai rang birangey dupattay dalne ka kia maqsad ha???? Yeh sawal isi tarha sawalia nishan baney wahin ka wahin mojud ha. Is mai zara bhi farq nazar nahi aya. Akhir yeh aik raat baghair galey main peela ya neela dopata lie guzari nahi jasakti??? Lekin main apko purey wasooq kay sath yeh kehna chahrae hoon kay yaqeen karain ap muhazib log in dupatton main na hi khoobsurat lagty hain or na hi muhazib. Islie ainda shadion main ghalti dohraney ki koshish na karain.

Kisi bhi shadi ki taqreeb main movie banaye wala pur israr tareeqey se har us manzar ko camera ki ankh mai mehfooz karney mai masroof rehta ha jo kisi bhi shakhsiyat per ya dusroon per mazaiya tasurat qaim karey. Maslan agar apne koi ghaarara phen rakha hai aur ghrara ya dopatta zameen ki khak saaf karta ae to movie wala dulhan ya dulha ko chor kar jhat se apki movie banaey mai lag jata ha. Ya phir khaney ki har barh k doran agar salan apki gardan ya thori per lag jae to majal ha movie wala is manzar ko camera ki ankh se ojhal honey dey.

Dekhawey kay ansoon bahana ek fashion hi ban gaya hai. Yaqeen karain kay nikah  ya rukhsati kay waqt dulhan ki door parey ki rishtydar ya saheli ki ankhon mai ansoon zaroor ajaty hain. Bohot sochne par bas yehi waja samne ai kay wo ansoon dulhan kay lie nahi balkey apne door ko yad karke bhae jaty hai…
Hum logon ka almia to bas yehi hai kay hum ek dusre ko mutasir karne mai masroof rehty han….

4 comments:

  1. very true..! itx awl is also against our islam

    ReplyDelete
  2. true...nyc blog...keep it up =)

    ReplyDelete
  3. bht acha laikh hai aur bilkul thk..picx ache upload ki hain..

    ReplyDelete