Friday 6 April 2012

Mehmen Nawazi


Mehmen nawizi kehne ko to har koi karta hai laikn mehmen k janai k bad unki buraiyan kar rahain hotai hain.mehmen ALLAH ki rehmat hai jab ALLAH apne banday say khush hota hai to ghr may mehmen bhejta hai aur hum uski he qadar nahe kartai.

Aj kal ki generation to mehmen k atay he gussay aur mood off hojata hai aur boltay hain k ufff yeh phr agay..jaisay mehmen taxes mangne aya hai..aj kal ki larkiyan ko kaam ki adat nahe hoti hai aur jab mehmen atay hain to kaam karna ki wajah say mood off hojatay hain..

Sara kasor mehzaban ka he nahe hota mehmen bhe to kise k ghr ja k us ghr ko apna ghr samjh laitay hainmehzaban ko itna paraishan kartsy hain k next time bulane say pehlay 10 bar sochain..log kise ki mayat pay afsos karne atay hain afsos say ziada to biryani ka intizar hota hai.kise ki taziyat karne jatay hain to taziyat say ziada lagta hai k pait poja karne aien hain.mehmen wabale jaan banjatay hain..

2 comments: