Drawing
room naam se to asa lagta ha k jesy drawing krny ka koi room ho ya phr jahan
koi art se related cheezen rakhi jati hon….!!! Liken nhe drawing room to
hamarey ghar ka wo hisa ha jahan hm hmarey ghar aaney waley MEHMAN HAZRAT ko
behtaty hen. Un ki khatir tawazo krty hen. Drawing room ghar mai rehny walon k
rhak rakhao ka aaks bhee hota ha. Islye hr koi chahta ha k jb un k ghar Mehman
aen to un ka ghar bhot saaf sutra or intehahi dil kash nazar aey.
Liken
baz-o-qat to asa bhee hota ha k drawing room k ek kony mai kitaben ya akhbart
ka dehr laga hota ha to kbi dupatey or towel sofa set ki zenat baney hoty hen
or agr ghar bachon wala ho to phir to puchen hi mt un k kehlony or kapry bhee
aksar oqat drawing room mai hi payey jata hen. Ab agr asey mai mehman hazrat
tasrif ly aen to ghar waley ek tarf to jaldi jaldi mai saafi krtey nazar aty
hen to dusri traf sharmindagi ka samna bhee krty hen.
Afos
ki bat to ye ha k aj kal ksi bhee ghar mai drawing room ki saafi sutrai, uski
sajawat ki traf tawajo hi nhe di jati. Hamary yahan ki khatoon-e-khana anpy
aaram-o-aasaish ki khatir ya phir wo khawateen jo job krti hen wo apni sahulat
ki khatir masi rhak lyti hen, or phir unki tarf se or Ghar ki traf se la-parwa
ho jati hen. Js ki waja se unko or un k ghar walon ko muqtalif masail ka samna
krna parta ha jesy ghar ki saafai ka thik se na hona, ya phir ghar ki ksi cheez
ka ghum ho jana.
Hm
ko chahey k apny masrof tareen waqt mai se 10 ya 15 min nikal k purey ghar ki
nhe to kam se kam drawing room ki hi saafi kr lyni chahey. Agr koi Mehman
achank se ajaen to un k samny sharimdagi ka samna na krna parey. Or agr mumkin
ho to saal mai ek bar drawing room ki dewaron k rang bhee change krny chahey or
rangon ka inteqab halaky rang ka ho to behtar ha q k is se drawing room bara
bhee lagta ha. Or Mehmanon ko ghar mai thandak ka bhee ehsas hota ha or wo
ziyada aaramdhe mehsoos krty hen.
ye suddenly topic k trend say deviate q hogaen?
ReplyDeletekesa trend...!!!
Deleteblog ka ya post ka...???
sorry mjhe smjh nhe aya ap ka mtlb. :s
wajiha u r rite yeh humarai sath hota hai jb mehmen atay hain hr bhag bhag k samait rahai hotay hain..topic is very gud..
ReplyDeletenice blog
ReplyDelete