Hamare mulk main garmiyon ki aamad jahan apney sath bohat si soghatein maslan aam,tarbooz,aalu bokharey waghera laati hai wahin aik anokhi soghat bhi ly kar aati hai jo k hai “LOADSHEDDING”… Waise to ye soghat poora saal hi hamare haan payi jati hai magar garmiyon main to ye intiha ko pohunch jati hai.Garmiyon ki dosri soghaten to khas tor pr aam bachon se ly kar baron tak ko bohat marghoob hoti hain magar garmiyon ki ye soghat “Loadshedding” aath aath aansu rulati hai haan magar in dono soghaton main aik baat zarur mushtarik hai k inki qeemten her baar pehly se bhi ziada barh jati hain..
University se thaky haarey ghar aao aur aaram k liye laito to bijli ghaib,Computer per koi zaruri aasignment mukamal karna ho to bijli ghaib,kahin zaruri aur fori tor per jana hai aur kaprey istri karney hain to bijli ghaib… Arey bhaihum jayen to jayen kahan??? 12 saal pehle to hum iss qabil thy k dosrey mumalik ko bhi bijli dy saken to phir aakhir ab achanak aisa kya hua k hamen apney parosi mumalik se bijli maangne ki zrurat aan pari??? Hamre wazir-e-bijli sahib her saal yehi daawa kartey nazar aaty hain k aaji loadshedding ka mukkaml tor per khatma kar diya jayega.Mera khayal hai agar wo ye kahen k “BIJLI KA KHAATMA KAR DIYA JAYE GA” to ziada behtar lage ga.. (Hai k nahi)
Mehangai ka bomb ho ya loadshedding ka hamesha bichari ghareeb awam per hi girta hai hukmaran to hamesha A\C main rehty hain aur A\C se nikal kar A\C main chaly jaty hain aur un ko loadshedding jaise masail ka saamna nahi karna parta to phir wo kaise ghareeb awam ka dard samajh saktey hain??Puraney zamane k hukmaran to ye hain nahi k awam main reh kar awam k masail samajh saken.Bichari awam jab loadshedding aur garmi se bey haal ho kar nahane k liye nalka kholti hai to pani bhi ghaib..Hayee ri qismat!! L To phir wo apni hi amlaak ko nuksan pohunchane uth khari hoti hai.Mujhe to aisa lagta hai k chand saalon baad jab loadshedding oh sorry! Matlab BIJLI ka mukkamal tor per khatma ho jaye ga to hum apne khoobsurat maazi jis main kabhi kabhaar bijli naami mohtabar hasti jalwa afroz hua karti thi k qissey apney bachon ko sunaya karen gy k “kisi zamane main BIJLI jo k ab BUJH LI ho chuki hai huwa karti thi aur bulb, pankhey,tube lights aur A\C waghera muesium main rakhey hongey aur hum chutti wale din apney bachon ko un ki ziyarat karwane ly jaya karengy..Ab iss per bhi kaha jata hai k bhai apney mulk ko bura mat kaho….
Meri taraf se Allah hafiz k light k jane ka time ho raha hai milte hain agley haftey J
Likaha to bht ala ha. pr blog kam or articel ziyada mehsos ho rha ha.
ReplyDeleteyap .. m agree with your endind point of second paragraph. there are many problems being faced by pakistanis due to loadshedding and still actions for improvment are not taken yet and as far as our nation is concerned ... the same carelesness is being sh by them in using electricity unnecesarily. well whatever the senario is, the blog topic is well chosen and views are presented well. :-)
ReplyDeletethek kaha bht bara msla hai load shading
ReplyDelete