Humaria uratun kay rights tu hai par kahan istamaal hoty hai
ya maloom ni aj bhe human rights kay lie buhut si NGO’S kam karahai hai lakin
intehai afsoos kay saath ya kahna parh raha hai kay humary mulq mai aurat ki
azaadi ka galat matlab lia jaraha hai. Aurat ko fashion kay nam par libaas or
parday sa doour kia jaraha hai.. aj kal jo aurtain itni zulm o ziyati ka
shikaar horahai hain usmai galti kahi na kahi humari bhe hai aj kay es jadeed dour mai bhe aurat ko zinda
jalaya jara hai. Aj bhee khubsoorat aurtun par teezab phenka jaraha hai.. lakin
hum kuch nhi kar parahai…
Ek aurat jis mai mobht ka jazba koot koot kar bhara hota hai
kabhi aurat maa kay azeem roop mai nazar ati hai tu kabhe behan jesay khubsorat
rishty mai, kabhe bewi kay rishty mai ALLAH nay
ek aurat kay andar apni mohbt mai
say kuch mohbt dal di hai jis ki waja sa
aurat ek azeem insaan nazar ati hai yahan humari zimadari hai kay hum apni
auratu ko ya bataie kay woe s fashionable dunya mai apni in khubsuratyun ko
khoony na dai apna khoya hua waqar wapiz lai takay dunya ki tamaam aurtai izzat
sa jee sakai kune kay islam nay aurtun ko ek mooqam dia hai agar muslim
khawateen ko apna waqar o martaba wapiz lana hai tu ISLAM kay ahkamaat par amal
karain taky dunya mai bhe izat say zindagi basar kar sakai or akhirat mai bhe
surkhuroor hosakai….
Aurat kay malab hain ‘CHUPANAY KI CHEEZ’ lakin aj kal bee
pardigi ki waja say hi aurat apna waqar or martaba dono kho chuki hain aj kal
ki khawateen fashion ka zada khayal rakhti hai sleeveless shirts, jeans,
without dupata etc etc humnay apni musalmaan honay ki shanakht kho chuki hai
westernization apna li hai humai ab glamour zada pasand hai Quran, namaz Sab
bhool chukai hai esilie tu humara mulq itni paryshaniu ka shikaar hai aiee din
hungamay qudrati azaab nazil hoty hai par hum in sab kay bawajood sudharnay ka
nam hi nhi lai rahai parhy ko mazak nana kar rakhdia hai en sab kay bawajood
hum apny ap ko musalman kahty hai bhuhut afsoos ki bat hai … aee musalmanu abhi
bhi waqt hai sudhar jaou ALLAH HUMARI
AURTU KO NEEK HIDAYAT DAI…. AMEEN…
Sum-e-Ammeen
ReplyDelete